Dosto jaisa ki aaj aap sabhi jaante hai ki aaj ke time par paise ki value kitni hai or kitni nahi yah baat aaj ki janta acche se jaanti hai or saath hi paise ki value aaj ke time par aayi iss pandemic se pata bhi chal chuki hai ki jo log kaha karte the paisa kucch nahi hota hai or sabkucch paisa nahi hota aaj wo log apni baat ko justify nahi kar sakte hai kyunki saal 2020-21 ek esa bhayanak manjar bann ke aaya hai logo ke liye jaha par logo ke paas aayi iss bhayanak pandemic se bachne ke liye or dawai wagerah lene ke liye paiso ki zaroorat hoti hai wo to baat pata hai sabhi logo ko lekin main baat yah hai ki logo ke paas ilaaz karana door ki baat hai unke paas khane tak ke liye paiso ka intezaam nahi ho sakta hai
Ese mein insaan ke paas do kaam hota hai jo wo kar sakte hai pahla to yah hai ki wo kisi jagah par jaakar kaam wagerah jaha se wo thode bahut kucch paise kama sake lekin jo situation hai wo aapke or meri nazro se door nahi hai esa bhayankar kaal tha yah jaha par log bass gharo mein baithe hue hai kaam par jaa nahi sakte kyunki kaam par jaana mana hai..
Or doosri aur baat karte hai to doosra option yah hai ki yaa to aap kisi se thode time ke liye kucch paise loan par le lo lekin yah baat aap log bhi jaante hai ki sirf ghar par aap log hi nahi baithe hue aapke jaise na jaane kitne log hai ese mein unse loan maangna to door ki baat hai unke khud ke paas kisi na kisi prakar ki financial crisis hoti hogi to unse loan lene ka to koi matlab nahi hai doosri baat yah ki agar kisi ke pass hoga bhi to wo jaldi dega nahi to main baa tab yah aati hai ki ab aadmi kar kya sakta hai…
To mai aapko bata doo ki loan aap sirf kisi person se nahi le sakte ho aaj ke time par financial loan dene wale kai sector hai jo aapko loan available karwate hai par yaha par bhi baat yah aati hai ki bank ke through aap log loan le sakte nahi ho kyunki abhi aapko bank loan de nahi sakta to ab baat aati hai to ab kya kare loan le to le kaha se to mai aapko bata doon ki aapko loan apko phone se hi mil sakta hai jiii haa aap apne phone se loan le sakte ho aur wo bhi ek click mein kaise lenge loan wo mai aapko aage bataooonga
To jaisa ki aap sabhi log online payment to karte hi honge or online payment mein aapke saamne kitne saare application aapke saamne aa jaate honge jisme kucch naam to ese hote hai jaise phonepe, google pay, paytm etc..
To aaj mai aapko bataunga ki aap log google pay se loan kaise le sakte hai iske liye aapko iss blog ko poora read karna hoga jaha par mai aapko bataunga ki google pay kya hai, google pay se loan kaise le, google pay se loan kaise liya jaata hai (how to apply loan from google pay), google pay loan interest rate kya hai, google pay loan repayment deadline kya hia, google pay se loan lene ke liye kin kin documentation ki aapko need hoti hai etc jaise baaaki sabhi baato par discuss karenge..
Google Pay Kya Hai?
Table of Contents
To jaisa ki bhaiyo aap sabhi log jaante ho ki online transaction applications ke bare mein aur aaj ki date ki baat kare to itne saare online payment transaction application available hai jisse aap log online transaction karv sakte ho it means ki aap apne ghar se baithe baithe kisi or ko payment transfer kar sajte ho ab agar hum baat karte hai google pay ki to jii haa google pay bhi ek online payment transaction application hai jiske use se aap log ghar baithe paise kisi ko bhi kahi bhi transfer kar sakte hai or agar baat kare ki google pay ke bare mein to jaisa ki iska naam hi google pay hai yaani ki google ka support hai iss application mein aur aap jaante hai aaj ki date mein bina google kiye kisi ka kucch nahi hota to socho usi mein aapko google ki taraf se provide kiya jaane waala ek online payment application mil raha hai matlab ki security ek no. hogi aur baaki apps ke mukable iske andar services badhiya or best hogi like jaise baaki apps ki tarah aap google pay se mobile recharge, dishtv recharge, bill tickets, book flights ticket, order food in a restaurant aur upi payment or bank payment baaki saari transaction kar sakte hai aap log google pay application se..
Google Pay Se Loan Kaise Le Sakte Hai?
To dosto ab mai aapko batane wala hoon ki aap log google pay se loan kaise le sakte ho lekin isse pahle mai aapko bata deta hoon ki google pay aapko loan ki facility zaroor provide karwata hai lekin wo khud yaani ki google pay aapko apni personal account se amount as a loan nahi deta hai or naa hi koi esi company hai jisne google pay se loan apply kiye jaane waale ko apni khud ke personal bank se amount use as a loan dega
To mai aapko bata doo ki google pay aapko loan facility provide zaroor karwa deti hai lekin loan jab hi aap google pay se apply karte hai to wo loan den eke liye google pay ne kai saari financial sector ke platform se partnership ya tieup kar rakha hai jisse ek tarike se loan aapko google pay hi degi lekin doosri taraf se aap loan google pay se naa lekar ke aap kisi financial sector ke platform se aapko loan milega inn short loan aapko unhi financial sector se milega lekin uska giving partner google pay banega..!!
Google Pay Aapko Loan Kaha Se Deta Hai?
To jaisa ki maine aapko abhi upar bataya hai ki google pay apni taraf se koi loan personaly provide nahi karwata hai lekin kucch jaane mane financial sector se aapko loan provide karawata hai jaise ki hum agar kucch naam mention karte hai to be like :- CASHe, Bajaj Finance, Zest Money, Money View Loans ese kucch financial sector waaale application hai jiski madad se aap google pay se loan le sakte hai ya fir kahe to google pay se loan apply kar sakte hai to abhi mai aapko itni saari application ke bare mein to nahi batunga jiska partnership google pay ke saath mein hai lekin koi nahi mai aapko ek application se jiska tieup hai google pay ka usi ka example dekar bataunga ki kaise aap google pay se loan kaise le sakte hai aur wo bhi badi hi aasani se so for example aaj hum baat karenge money view loans ke bare mein jaise ki maine aapko bataya hai ki google pay ka loan facility ka partnership multiple financial companies se hai to aaj hum money view loans se kaise le sakte hai to aapko yah bhi saath saath mein pata chal paaega ki agar kisi bhi type ka google pay ka loan offer chal raha hai to wo kaiseaap apply kar sakte ho iske saath google pay loan offer 2021 mei n kya new hai inn sabhi chijo ke bare mein aap jaanenge..
Lekin inn sabhi steps mein aage badhne se pahle aapko mai bata dena chahta hoon ki aapko sabse pahle google play store se aapko google pay application download karke apne phone mein install karni hogi agar aapke paas android smartphone hai to aap google play store par jaa sakte hai agar aapke paas ios device hai to aap app store par jaakar isko apne apple device mein install kar sakti hai..
Yaha par mai aapko thoda sa basic sa loan info de deta hoon money view loans ke bare mein kyunki iss loan ki partnership aapko google pay ke through mil rahi hai to aapko detail description mai samjha doo
Google Pay Loan Apply Facts :- (Money View Loans)
· To aapko mai sabse pahle bata doo ki money view loans se aap 10000 rupayo se lekar 500000 rupay tak ka loan le sakte hai yaha par bhi ek exception hain ki kam amount ka loan aapko instant mil sakta hai jabki high payment aapko long duration wale loans mein se ek hogi..
· Yaha par baat agar interest rate ki ki jaae to waise to aap kah sakte hai ki yah money view loans se liye jaane waale loan amount par interest rate lagaya jaa sakta hai lekin kyunki aap inshort yah jaan rahe hai ki aap log google pay se loan kaise le sakte hai to in short aap yah bhi kah sakte hai ki aapka jo loan interest rate amount hoga wo google pay se hoga yaani ki google pay interest rate aapka kitna hoga to iska jawab hai ki aapko yaha par interest rate ki starting 1.33% par se shuru hoti hai
· Ab last fact jo hum jaan lete hai ki google pay or it means money view loan se aapko diya gya amount ya loan ki deadline kitne time tak ki hogi to aapke loan amount ka duration 3 mahine se lekar 5 saal ke bich tak ke liye aapko loan provide karaaya jaata hai or yahi aapko loan deadline hai..
Google Pay Se Loan Kaise Le? /
Google Pay Loan Apply Kaise Kare
· Sabse pahle aapjo apne samrtphone ke google play store mein jaana hai waha jaane ke baad aapko search button par click karna hai or waha par jaakar aapko type karna hai google pay
· Google pay search karne ke baad aapke saamne google pay ka search result aa jaaega uske baad aapko install button par click karna hai
· Google pay app install hone ke baad aapko open karna hai open karne ke baad aapko waha apna mobile number register karna hoga
· Google pay app mein mobile number register hone ke baad aapko apna bank ac apne google pay ac mein jodna hoga or fir yah process karne ke baad
· Google pay mein aapko homepage par business and bill pay ka option milega waha click karne ke baad
· Usi page mein aapko finance wala option milega google pay application mein
· And then aap waha par aap dekhenge ki aapko bahut saare option mil jaaenge loan lene ke with interest rate and with custom deadline option ke saath
· Aapko apne hisab se koi si bhi loan company select karni hai select karne ke baad
· Aapko uss finance company ki basic details ko fill up karna hona for example money view loans
· Aur usme aapko apna mobile number and email address fillup karna hai
· Waha par mange jaane waale sabhi basic details fill up karne ke baad
· Uske baad aapko waha par apni documentation select karni hai jo bhi documents aapse maange aapko waha de deni hai
· Iske baad aapko apna occupation status ko bahut briefly explain karna hai or sabhi pooche gaye sawal ke jawab aapko dene hai
· Iske baad last step hota hai bank account linking ka jiss bank ac mein aapko paise mangwane ka uss bank ac ka proper details with ac no. ac holder name bank ifsc and micr code sab kucch acche se fill up karna hai iske baad aapka application review process mein chala jaega.
· And then loan approved hote hi amount aapke bank ac mein hoga instantly
Note :- Document verification ke liye google pay team se call bhi aa sakta hai to apni sabhi jaankari unhen provide karwaye..
Google Pay Se Loan Lene Ke Faayde?
· To sabse pahle aap yah baat jaante hai ki google pay service or application google ka hi ek product hai jiske tahat saare kaam aapke google ke nazar mein hote hai or sabse pahle faayda yaha par aapka yah hai ki google pay se loan ka proper service online hai aapko kahi jaane ki koi zaroorat nahi hai saara kaam aapka online process ke tahat hoga ghar baithe..
· Doosra faayda yah hai google pay se loan lene ka ki yaha se aap chhoti se chhoti rakam se lekar badi se badi rakam tak ka aap loan le sakte hai google pay ki madad se aur agar amount ke roop mein hum baat karte hai to yaha se aap 10000 rupay se lekart 500000 tak ka loan le sakte hai..
· Google pay se loan lene ka main faayda hai security purpose ka jaise ki aap yah baat jaante hai ki aaj har kisi ke paas smartphone hai or or har koi ek google user hai to main benefit hoga aapka safe and security ka jo google apne sabhi users ko provide karwata hai..
· Google pay se loan lene ka ek faayda yah hai ki iss online transaction application ke user ka number aaj ki present time mein 24cr se zyada ki hai iska matlb aapke liye yah application ek trusted application hai
· Aur sabse aakhiri aur main benefit google pay se loan lene ka yah hai ki yaha par aapko aapke saare data fill up karne ke baad just bata diya jaata hai ki aap loan ke liye eligible hai yaa nahi jisse aapka kaafi time bach jaata hai..
Google Pay Loan Online Apply Karne Ke Liye Documentations?
· To yaha mai aapko bata deta hoon ki google ke saare products ko design kucch iss kadar kiya jaata hai jisse aap iss app ko easy to use kar sake thik usi tarah se mai agar baat karta hoon google pay se loan kaise liya jaata hai or iss topic mein agar mein documentation ki baat karoo to aapka iska zyada kucch nahi sochna hai sabse pahle yaha par aapka person identity verification kiya jaata hai or yah karne ke liye aapke paas aapka koi bhi ek identity card hona chahiye be like (Aadhar Card, Pan Card, VoterID Card, Passport ) etc..
· Doosra person identity verified hone ke baad aapka address proof checkout kiya jaat ahi it means location verificfation jisse aapke identity card par diya hua address valid proof ho sake iske liye aapke paas aapka ek address verification document hona chahiye be like (Electricity Bill, Ration Card) Etc..
· Ab sabse least ki aapke paas aapka minimum 3 months ka bank statement hona chahiye jisse aapka score eligibility check ho sake bassss..
Aapne Kya Sikha?
Dosto aaj aapne sikha ki aap kis tarike se google pay se loan kaise le sakte hai iske alawa google pay se loan kaise le mein aapko bahut saari deeply information be like google pay loan offers, google pay loan offers 2021 ke bare mein aapne samjha saath hi sath google pay loan interst rate kitna hoga aur google pay loan kitne time ke liye deta hai, google pay loan apply kaise kare, google pay loan apply documentation kon kon si hai saath hi agar in sabhi baato ko English mein ek sentence mein clear karna ho to maine aapko bataya ki (how to get loan from google pay)
Ummid hai aapko yah blog pasand aaya hoga…
Dhanyvaad