Kotak Mahindra Bank Business Loan Kaise Le? / Kotak Mahindra Bank Business Loan Apply Kaise Kare? | Kotak Mahindra Bank Se Loan Kaise Le? | Kotak Mahindra Bank Se Loan Apply Kaise Kare? | Kotak Bank Business Loan Online Apply?

Namaskar bhaiyo to kaise hai aap sabhi aaj ki yah post aap logo ke Liye kaafi unique hone waali hai aur saath hi aapko pata chalega ki agar aap log home business loan Lena chahte hai to aap log kaise le sakte hai aur kis bank se to mai aapko bata doo ki aaj ki iss post mein aapko pata chalega ki aap log kaise kotak mahindra bank se business loan le sakte hai iske liye iss post ko poora padhe..!!

Kotak Mahindra Bank Business Loan Kya Hai?

To baat karte hai sabse pahle ki Business loan ka matlab hai yah ki agar aap ek enterprises level par ya small finance capital level par ek business create karna chahte hai to iske liye aap log business loan le sakte hai aur aaj hum kotak mahindra bank se business loan lene waale hai jiske baare mein saari information abhi aapko milegi..!

Kotak Mahindra Bank Business Loan Benefits?

To aayiye baat karte hai ki aakhir jab aap log kotak mahindra bank se business loan lenge uska benefit kya hai..

Attractive interest rate

Highest loan amount for your business

Long tenure of your loans

Minimum documentation

Quick disbursal etc..

Kotak Mahindra Bank Business Loan Kitna Milta Hai?

To agar hum log yah baat kare ki aap log kotak mahindra bank se business loan lete waqt aapko minimum to maximum kitne amount tak ka aapko loan amount mil jaata hai kotak Mahindra business loan se to aapko bata doo yaha se aapko 3 lakh rupees se lekar ke 75 lakh rupeea tak ka loan mil jaata hai..

Kotak Mahindra Bank Business Loan Kitne Interest Rate Par Milta Hai?

Yunn to aap log loan lene ke liye kaafi baar aap iss baat ko janne ki koshish karte hai lekin aapko pata hona chahiye ki aap loan lete hai uss loan ko aapko byaz bhi pay karna padta hai aur jaha tak baat rahi ki jab aap log business loan lete hai to uska aapko per annum interest kitna pay karna padega to bata doo ki aapko 16%-19% tak ka interest pay karna padta hai..

Kotak Mahindra Bank Business Loan Kitne Tenure Ke Liye Milta Hai?

To baat ki jaaye ki jab aap log kotak mahindra back se Business Loan lete hai to aapko business loan kitne dino ke liye yaa fir kahe ki kitne saalo ke liye mil jaata hai 12 months se 60 months ke liye in short 1 saal se lekar ke 5 saal ke liye..

Kotak Mahindra Bank Business Loan Documentation Charges?

To agar aap kotak Mahindra Bank Business Loan lete hai under 10 lakh to aapko uski fee 3500 rupees pay karni padegi

Aur agar aap business loan lete hai 10 lakh above to aapko 6000 rupees documentation fee bharni padti hai..

Kotak Mahindra Bank Business Loan Eligibility?

Kotak Mahindra Bank se business loan wo le sakte hai jo ki ek indian residential hone chahiye

Saath hi jo bhi vyakti business loan le rahe hai wo kam se kam apne business ka previous 3 years ka minimum turnover 40 lakh rupees ka hona chahiye..

Saath hi jo bhi vyakti business loan le raha hai wo iss baat ka khaas khyaal rakhe ki uska business ek profitable business ho jiska report picchle 1 saal ka dikhana hoga..

Saath hi jo bhi loan le raha hai wo ek sole proprietorship hona chahiye isi ke saath partnership firm/ private Ltd co/trust/LLP

Aur jo bhi vyakti kotak mahindra se business loan le raha hai uski minimum age 23 saal honi chahiye aur maximum age 65 years..

Kotak Mahindra Bank Business Loan Documentation?

Sabse pahle aapke paas aapki eKYC documents like Aadhar Card, Pan Card, Voter ID Card, Driving Licences Passport etc honi chahiye..

Aur address proof ke tor par aapke paas passport, Ration Card, electricity bill , telephone bill, bank statement hona chaiye..

Apne business ke ownership ke liye aapke paas Agreement Copy / Electricity Bill / Maintenance Bill with share certificate / Municipal tax bill/Share certificate hona chahiye..

Saath hi jis business ke liye aap loan le rahe uski registration means MOA/Partner Ship Deed/GST Registration Certificate hona chahiye..

Saath hi aapka current account ka minimum 6 months ka bank statement hona chahiye

Aur saath hi aapke paas financial report ke tor par latest two years ke financial report of business aur sath hi Tax audit report hona chahiye..

Kotak Mahindra Bank Business Loan Kaise Le? / Kotak Mahindra Bank Business Loan Apply Kaise Kare?

To baat kare ki aap log kaise kotak mahindra bank se business loan apply kar sake..!!

To aap do kaam kar sakte hai sabse pahle to online procedure ke through aapko kotak Mahindra Bank ka ya to official site ya official application ko apne phone mein install karna hai iske baad

Aapko unke loan product mein jaana hai waha par aapko application form dikhega lekin wo just kotak team se contact karne ke liye aap use Fill jab kar denge to aapse team contact karegi aur aap ke sare objective clear hone par documentation and application form ke sath consultant khud aap tak aakar ke business loan apply karwa denge..

Next step yah hai ki aap agar jald se jald results pana chahate hai yah aapko kotak Mahindra Bank ke official nearest branch par visit karna hai and then sabhi documents lekar jana hai aapko

With business loan application form ke liye approch karna hai then sabhi fields ko fill karke aapko sabhi documents attached kar dene hai and aapka loan application form submitted kar dena hai..

Then aapka loan apply ho chuka hai..

Conclusion?

To aaj ke iss post mein humne baat ki hai ki aap log kaise kotak Mahindra Bank se business loan kaise le sakte hai saath hi kaise aap log kotak mahindra bank se business loan apply kar sakte hai iski saari details aapko iss post mein milegi..

Ummid karta hun ki aap logo ko yah post pasand aayi..

Dhanyawad

Aashish Kummarr

About AashishKummarr

Check Also

HDFC Bank Mudra Loan Kaise Le? | HDFC Bank PMMY Loan Apply Online? | HDFC Bank e-Mudra Loan?

Hello friends, So,kaise ho aap sabhi log ummid karti hoon acche bhale honge toh aaj …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x