Bandhan Bank Personal Loan Kaise Le? | Bandhan Bank Personal Loan Apply Kaise Kare? | Bandhan Bank Se Loan Kaise Le? | Bandhan Bank Se Loan Apply Kaise Kare?

Hello Guys,

This is aashish kummarr aur aaj ki iss post mein aap logo ko pata chalega ki aap log kaise bank se personal loan le sakte hai aur saath hi kaise practical process ke basis par loan apply kar sakte hai jaisa ki aap sabhi yah baat acche se jaante hai ki personal loan ka mostly use emergency fund ke tor par kiya jaata hai jo ki aapki financial problems ko solve kar deta hai to aaj ki iss post mein hum log bat karenge ki aap log bandhan bank se personal loan kaise le sakte hai aur saath hi kaise apply karenge…

   

Bandhan Bank Personal Loan Kya Hai?

To bandhan bank ek financial sector aur banking sector hai jaha par aap apne paiso ko save kar sakte hai saath hi aap isko banking ke tor par use kar sakte hai aur aaj isi bank yaani ki aap log bandhan bank se personal loan kaise lenge iske upar practical process aapko iss post ke andar pata chalega saath hi pata chalega isaka practical process bhi jisse aap personal loan apply kar sakte hai..

Bandhan Bank Personal Loan Benefits?

Immediate 48 hours ke andar loan amount recieved..

Minimum documentation

Easy EMI disbursal

Long tenure duration

Bandhan Bank Personal Loan Se Kitna Loan Le Sakte Hai?

To aapko bata doo ki bandhan bank se jab bhi aap log personal loan apply karte hai to aapko 50000 rupees se lekar ke 1500000 rupees tak ka loan mil jaata hai..

Bandhan Bank Personal Loan Se Loan Kitne Dino Ke Liye Milta Hai?

To jab bhi aap log bandhan bank se personal loan lete hai to aapko loan 60 months ke liye mil jaata hai yaani ki 5 saal ke liye..

Bandhan Bank Personal Loan Interest Rate?

To aapko bata doo ki jab bhi aap log bandhan bank se loan lete hai personal loan to aapko loan milta hai 10.5% interest per annum se starting hoti hai..

Bandhan Bank Personal Loan Kon Le Sakta hai?

To bandhan bank se personal loan lene ke liye aapki age 21 saal se zyada ho

Aap ek indian residential honi chahiye..

Aapke paas sabhi documents hone chahiye..

Jiske eKYC documents ke saath saath aapki address proof aur income source related documents bhi included hai..

Aapka bandhan bank mein account hona required hai ..

Aapki bandhan bank mein jo main account hai usse aapka monthly minimum 1 transaction hona chahiye jisse analysis kiya jaa sake..

Yaha se individual, self employed, self employed professional aur etc sabhi log loan le sakte hai..

Bandhan Bank Personal Loan Documentation?

To baat ki jaaye bandhan bank se personal loan lene ke liye documents ki..

Aapke paas sabhi eKYC Documents like Aadhar Card, Pan Card, Voter ID Card, Driving Licences, Passport

Address proof bhi required hai jisse aapki location identify ki jaa sake iske liye Aapka Aadhar Card, Pan Card, Voter ID Card, Driving Licences, Ration Card, passport, Electricity Bill, Telephone Bill etc de sakte hai..

Aapke bank ki minimum 45 days ki bank statement required hai..

Isi ke saath aapki salary slip, cheque etc de sakte hai..

One recent photograph

Aur 1 saal ke ITR, balance sheet etc..

 

Bandhan Bank Personal Loan Kaise Le? / Bandhan Bank Personal Loan Apply Kaise Kare?

Offline Method :-

To process ki baat kare to sabse pahle aapko jo bhi documents bataye hai use lekar ..

Aapko bandhan bank ke nearest branch par visit karan hai aur saath hi aapko waha personal loan application form ke liye approch karna hai.

Fir aapko sabhi fields ko fill karke aur documents attached karke apne bank manager ko application form submitted kar dena hai..

Online Method:-

To aapko sabse pahle bandhan bank ki site par visit karna hai ya inska mobile application install karna hai..

Signup karke aapko main page aaye uske baad menu bar par Click karke aapko loan ke option ko choose karna hai..

Personal loan ko click karna hai then aapko pahle personal information then address information and last Income information fill karke

Last mein personal loan ki details daalkar ke required documents ko upload karna hai and then last mein photo upload karna hai..

Aapka loan apply ho chuka hai…

Conclusion?

So guys aaj ki iss post mein humne baat ki hai ki aap log kaise bandhan bank se personal loan kaise le sakte hai saath hi kaise aap log bandhan bank se personal loan apply kar sakte hai usse related saari information iss article mein available hai..

Dhanyawad Aapka

Aashish Kummarr

About AashishKummarr

Check Also

HDFC Bank Mudra Loan Kaise Le? | HDFC Bank PMMY Loan Apply Online? | HDFC Bank e-Mudra Loan?

Hello friends, So,kaise ho aap sabhi log ummid karti hoon acche bhale honge toh aaj …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x