Axis Bank Pradhan Mantri Mudra Yojana Loan Kaise Le? | Axis Bank Mudra Loan Kaise Le?

Hey guys ,

kese hai aap sb I hope aap sbhi thik honge Aaj hum kaafi alg topic pe baat karne vale hai jo ki hai pradhan mantri mudra yojna soo ye ek essa loan hai jo hr middle class vyakti ho kuch na kuch start-up krna chahta hai easily loan le sakta hai isske trough Pradhan mantri mudra yojna chote vypaar jese kiraane ki dukan, parlour, tailor ko easily loan de sakta hai taaki hr vyakti apna business kr sake kyuki hr vyakti apna khud ka business krna chahta hai taaki vo apni needs ko puri kr sake issiliye usse business hi best option lgta hai but chote chote business ko krne ke liye ek budget hota hai jo middle class ke pass nhi hota jiske liye unhe loan lena hota hai..

Aur unhe kaafi problem hoti hai loan lene mai banks loan kaafi High interest pe dete hai jisse chukana mushkil ho jaata hai issiliye kaafi log apna business nhi kar paate issiliye Mai aapko  btana chahti hu ki Pradhan Mantri Mudra yojna jo ki government ki schmes hai isse harr vyakti jo apna chote se chota business kr sakta hai unhe km interest pe loan deta hai.

Axis Bank Pradhan Mantri Mudra yojna kya Hai?

Pradhan mantri mudra yojna ek esa platform hai jaha se aap bina kisi preshani ke easily loan le sakte hai aur apne business ko badane ke liye pmmy jo ki government ki scheme hai yeh aapko loan dilwane mein help karti hai jaha se chote chote vypaari apna karobar shuru kar sakte hai.

Axis Bank Pradhan Mantri Mudra yojna ke kya Benefits Hai?

1.women entrepreneur ko interest pay nhi karna padta.

2.yeh term loan, working capital loan, overdraft facility ke roop mein use kiya jata hai.

3.All non- farm enterprises yaani small micro farm mudra loan receive kar sakte hai.

4.Jo Sc,St,ya OBC ke caste certificate ko as a document ko attach karna padh sakta hai.

Axis Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Se Kitne Amount Tak ka Amount paa sakte Hai?

Ab baat karte hai ki aapko axis bank Pradhan mantri mudra yojna se aapko apne khud ka startup karne ke liye bank kitna amount provide karwati hai 10lakh tak ka.

Axis Bank Pradhan Mantri Mudra yojna ka Interest Kitna pay karna padta Hai?

Ab dekh lete hai ki aaghir Pradhan Mantri Mudra yojna ke tahat aap log loan lete hai toh uska interest aapko kitna dena padta hai jo ki hai10-12%.

Axis Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Tenure Timing?

Time duration ki baat kare ki aapko kitna time jo hai loan ko wapis karne ka samay diya jata hai so mai bata doo aapko 7 years tak ka time period hai.

Axis Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Eligibility?

Axis Bank se Pradhan Mantri Mudra yojna loan lene ke kya eligibility honi chahiye toh isme…

1.Aap indian residence hone chahiye iss loan ko lene ke liye.

2.Aur aapki age minimum 18 year toh honi chahiye.

3.Aur maximum aapki age 21 years ho.

4.Apne Business ke intentity ko proof karne ke liye yeh documents hone tabhi wo log iske liye eligible mane jayenge.

5.axis bank se aap mudra loan le rahe hai usme aapka account hona chahiye aur aapki 12 months account old hona chahiye.

Axis Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Documentation?

1.Axis bank se Pradhan Mantri Mudra yojna lene ke aapke pass bank ki 6 month ki statement hone chahiye.

2.General ke alawa aap agar SC,ST,OBC ya minority hai toh uska certificate chahiye hoga.

3.Business licence certificate, registration certificate ya business ke premises like ki aapko business karne ki jagah rent par ya leased par karwaya hai uska agreement chahiye honge.

4.Aur jo vyakti business ka owner ya uska head ho usne kabhi bank se loan liya ho uska time se pahle ya ussi time mein paise return na kre hue ho aur bank aapko defaulter ghoshit kar chuki hai toh wo vyakti loan nhi le sakta.

5.Projected balance sheet one year ka working capital limits aur issi ke saath mai term ke loan ke period time ka proof dikhana hoga.

6.Project report dikhana hai jo ki aage future mein project ke behalf par sach ke banaya hoga aapne.

7.In absence of third party guarantee,asset and liability statement from the borrower including directors and partners may be sought to know the net -worth.

8.2 passport size photograph honi chahiye business owner aur saath mein kaam kar rahe log like proprietor, partner, directors ke hone chahiye.

Axis Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Contact Helpline Number?

1860-419-5555

Visit : https://www.axisbank.com/retail/loans/business-loan/mudra

Axis Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Loan kaise Apply kare…

Offline Method :-

Sabse pahle aapko browser ko open karna hai.

Uske baad aapko search karna hai axis bank Pradhan mantri mudra yojna loan ko.

Then axis bank ke official website par click karna hai.

Then aapko niche scroll karke other link ka option aayega uss par tap karna hai.

Uske aapko download form par click karna hai.

Then loan ke option par click karna hai.

Fir aapko mudra application form par jayenge tab aapko application form ko fill karna hai.

Then aapko documents ko attached kar dena hai.

Axis Bank ke nearest branch pe submit kar dena hai.

Kya axis bank ke alawa sabhi banks Pradhan Mantri Mudra yojna provide karwate hai?

Yes axis bank aur normally sabhi banks aapko matlab ki Pradhan Mantri Mudra yojna loan ko provide karwate hai.

Kya sabhi loan collateral free loans mein aate hai yaa nahi?

No sabhi loan toh nahi par Pradhan Mantri Mudra yojna mein aapko collateral free services mil jati hai.

Conclusion?

So, aaj ka article unn sabhi ke liye kafi important hai jo apna chota sa hi sahi lekin business se joint hona chahte hai aur usko shuru karna chahte hai
Taki wo apna business bada sake.

Ummid karti hoon aapko yeh article pasand aaya hoga.

Aashish Kummarr

About Aashish Kummarr

Check Also

HDFC Bank Mudra Loan Kaise Le? | HDFC Bank PMMY Loan Apply Online? | HDFC Bank e-Mudra Loan?

Hello friends, So,kaise ho aap sabhi log ummid karti hoon acche bhale honge toh aaj …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x