Namaskar sathiyao,
Toh kaise hai aap sabhi log i hope so ki behartein honge toh aaj ka article aap logo ke liye kaafi madadgaar hoga kyuki isme mai aap logo ko education loan ke baare mein batane wali hoon ki aap log kaise aur kis prakar se loan lene ke liye eligible hai aage hum iske poore information par baat karne wale hai iss article ke madhyam se…
Aaj ki date mai hr vyakti apne bacho ko education dena chahta hai vo bhi ache se ache school mai daalna chahta hai isliye log loan lete lene ke liye bahut struggle krte hai but ye milna vo bhi km interest mushkil hota hai toh aapko mai bta du union Bank of India aapko education loan deta hai vo bhi km interest rate pe jisse aap apni padhai continue aur complete kar paye.
Union Bank of India Education Loan kya Hai?
Table of Contents
Yeh loan aap log jinke pass paise nhi hai aur padhai apni complete karni hai aur bina paiso ke yeh possible nahi hai ki aap apni education complete kar sake kyuki humhe education lene ke liye paiso ki need hoti hai taki hum higher education ya koi bhi course kar sake jiske liye paiso ki need hoti jo ki aapko union bank ke dwara milti hai.
Union Bank of India Education Loan Benefits?
1.Yeh loan ki madad se aap apni padhai jaha tak bhi karna chahte hai wo easily kar sakte hai.
2.Isme aapko amount kaafi thik thak provide karwaya jata hai.
3.Aur kam interest rate hai wo par itna nhi hota hai aur kam interest rate par education loan mil jata hai.
4.saath hii aapko isme time duration yaani loan return karne ka samay kaafi thik thak hota hai.
5.Iss loan ke dwara aap apni studies ko poora kar sakte hai.
Union Bank of India Education Loan Amount?
Isme aapko loan amount jo ki diya jata hai education purpose ke liye wo aap logo ko 10 lakh tak ka amount provide karwaya jata hai.
Union Bank of India Education Loan Interest Rate?
Aage hum interest rate yaani ki vyaj dar kitna hai union bank of india ka toh yeh 10.45% tak interest aapko bank yaani ki union bank of india ko dena hota hai.
Union Bank of India Education Loan Tenure Duration?
Isme aapko loan ko return karne ka samay yaani duration time jo hai aapko wo diya jata hai 15 years tak ka samay jisse aap time ke according loan return kar paye.
Union Bank of India Education Loan Processing Fee?
Yaha baat kare ki jab aap loan lete hai toh jo processing fee kitni hoti hai toh isme No processing fee charge hai isme aapko processing fee deni nhi padti.
Union Bank of India Education Loan Eligibility?
1.Isme students ki koi maximum age limit nahi hai.
2.Students ko indian hona chahiye saath hi mai unke parents ko bhi.
3.Graduation, post -graduation , diploma course from recognized Universities.
4.union bank mein education loan ug course pg courses diploma course ke liye milta hai technical course professional courses ke liye milta hai.
5.Abroad mein diploma course karne ke liye loan nahi milta.
Union Bank of India Education Loan Documentation?
1.Higher studies ke liye india ya foreign mein kisi recognised college ya University mein addmission ho chuka ho uska proof chahiye.
2.12 pass certificate hone mandatory hai.
3.loan approval ke liye bank customer se admission letter, parents ki salary slip,fee structure,ITR ki copy need hoti hai.
4.proof of address ke liye aapka electricity bill, telephone bill, ration card or any other valid proof.
5.Admission documents wo hai admission letter, admit card hona chahiye.
6.Schedule of expenses including the fee structure and living expenses.
7.Mark sheet for 10 or equivalent onwards.
Union Bank of India Education Loan kaise Le?/ Union Bank of India Education Loan kaise Apply kare?
Online Method:-
Pahle aapko iske official website par jana hai.
Then education loan ke site par jaakr click karna hai.
Waha aapko form open karke use acche se fill karna hai.
Saari details ko acche fill karni hai apne documents uspe attached karna hai online hii.
Aur aapko submit ke option par jaakr uspe tap click karna hai.
Then submit hone ke baad aapke pass message aa jayega.
Tabhi aapka form successful submit mana jayega.
Visit : https://www.unionbankofindia.co.in/english/education-loan.aspx
Offline Method:-
Pahle aapko apne nearest branch par visit karna hai.
Then aapko education loan application form bharna hai.
Fill karne ke baad aapko apne documents ko saath mein le jana hai.
Aur fir aapko document ke saath attach karke submit karna hai.
Iske waha ke employee aapke form ko check karenge.
Tab jaake aapka form successful submit hoga.
Union Bank of India Customer Support?
1800 -22 -2244
Conclusion?
So aaj ke article mein aap logo ne education loan ke baare mein brief se samjha hoga kyuki logo ko yahi nhi pata ki unn logo ke liye education loan jaisi schmes hai jaha se aap paise le sakte hai apni studies ke liye.
Ummid karti hoon aapko yeh article pasand aaya ho.
Aashish Kummarr