Namaskar sathiyao,
So, kaise hai aap sabhi log ummid karti hu behartein honge toh aaj ka topic kuch iss prakar se hai ki current account open karwane ke liye iss article mein hum jaanenge aur samjhenge ki aap log current account ke kaise apply kar sakte hai..
Jaise ki aaj ke time mein paise toh sabhi save karte hai chahe middle class families ho ya upper class families ho jaha tak baat hai jo log saving account open karwate hai aur save karte hai isme koi bhi log apna account open karwa sakta hai lekin current account har koi vyakti open nhi karwa sakta kyunki yeh account kewal aur kewal business man hi open karwa sakte aur unke liye current account se better koi aur account nahi hai jaha wo paise ki len den bhi sahi tarike se kar sakte hai aur aap uco bank me apna current account open karwa sakte hai.
UCO Bank Current Account kya Hai?
Table of Contents
Current account basically isse hum samjhe toh yeh ek esa account hai jo ki business purpose ke liye hi work karta hai aur saath hi aap business entity se jude hue ho isme aap jinko business karna hai wo log yeh account open easily karwa sakte hai.
UCO Bank Current Account Opening ke Benefits?
1.Current account open karwane ke baad aap log other countries ke saath export, import kar sakte hai.
2.Yaha aap limited transaction ke bajay more money of transaction kar sakte hai.
3.cheque FD, DD withdraw ki koi permanent limited nahi ki jati yeh aapke business ke according expand bhi ho sakti hai.
4.Aur isme aapko ek balance management karna padta hai lekin koi exact number current account ke case mein nahi hota hai kyuki yeh aapke business model or expansion par depend karta hai.
UCO Bank Current Account Opening Eligibility?
1.Aap Indian residency hone chahiye.
2.Aapke pass sole proprietorship hone chahiye.
3.Aap business kar rahe hai toh business entity se jude hue ho.
4.Saath business operate karne ke liye aapke pass business documents poore hone chahiye.
5.Aap clubs ya association se jude hue ho toh hii aap iss loan ke liye apply kar sakte hai.
UCO Bank Current Account Opening Documentation?
Aapke pass kon konse documents hone chahiye…
1.ekyc documents
Pan card
Voter id card
Aadhar card
Driving licence
2.Address proof
Utility bill
Electricity bill
Passport
Property tax report
3.ID proof of the person holding POA hone chahiye aapke pass.
4.CST/VAT registration certificate hone chahiye.
5.ID cards issued Central and state government hona chahiye taki documents poore ho sake.
6.passbook scheduled commercial bank ka ho.
7.commencement of business certificate hone chahiye.
UCO Bank Current Account Open kaise kare In Offline Mode?
Pahle toh aapko iske branch pe jana hoga.
Then waha jakar aapko current account opening ke waha se form borrow karna hai.
Usko acche se fill karna hai aur jo documents required hai usko saath le jana hai.
Then aapko dono ko attached kar dena hai.
Aur aapko waha jakr submit kar dena hai.
Then wo aapko aage ka process samjha denge.
Saath hi kuch details wo aapse poochne ke baad aapka form successful submit ho jayega.
Visit : https://www.ucobank.com/English/current-account.aspx
UCO Bank Current Account Open kaise kare In Online Mode?
Isme aapko pahle toh ke website par jana hoga.
Then aapko waha saari information di jayegi usko acche se padh kar.
Next page yaani current account ke option pe aa jana.
Uspe aapko tab karna hai then apni details fill karni hai.
Aur details fill karne ke baad aapko waha submit ke option par click karna hai.
Then aapka form successful submit mana jayega.
UCO Bank Current Account Opening GST Needed?
Waise toh kisi bhi prakar ka business shuru karne ke liye GST ki need hoti hai lekin aapke pass abhi nhi hai toh pareshani ki baat nhi hai aap abhi ke liye eKYC documents ke through aapki help ho jati hai.
UCO Bank Current Account Minimum Balance Management?
Isme aapko kitna balance management karna padega toh main bata doo ki isme aapko kitne balance ko manage karna padta hai toh isme aapko 1000 rupee tak balance ko manage karna padta hai.
UCO Bank Current Account Opening Charges & Fees?
Baat kare ki UCO Bank Current account opening ki charges kitna hai toh isme aapko jo charge hai wo hai 500 tak charge lgte hai.
UCO Bank Current Account Passbook provide karwata Hai?
Jaise ki aap koi sa bhi account open karwate hai toh aapko passbook diya jata hai same isme bhi aapko passbook provide karwa diya jata hai.
UCO Bank Current Account ATM Card Milta Hai?
Koi bhi bank jab aap account open karwate hai toh transaction karne ke liye debit card /ATM Card Milta hai same current account mein bhi aapko ATM card milta hai.
UCO Bank Saving Account ko Current Account Mein Convert kar Sakte Hai?
Nahi aap Saving account ko current account mein convert nahi kar sakte as per the rule of RBI(Reserve Bank of India).
Conclusion?
So, upper humne poore concept mein jaana ki aap log kaise UCO Bank mein apna current account open karwa sakte hai aur uske liye kaise apply karwa sakte hai bina kisi preshani ke jo ki iss poore process ko humne jaana.
Ummid karti hoon ki yeh article aapko pasand aaya ho.
Aashish Kummarr