Indian Bank Personal Loan Kaise Le? | Indian Bank Personal Loan Apply 2023? | Indian Bank Loan Kaise Le?

Namaskar dosto,

Kaise hai aap sabhi log hope so ki thik honge toh aaj ke article jo hai kaafi alag aur aap logo ke liye kaafi faydemand hai kyuki yeh aapko personal loan jo ki logo ko aksar zarurat padti hai iss type ke loan ki aur jaanenge ki log personal loan aakhir kyu lete hai..

Personal loan log tab lete hai jab unko study se related help chahiye hoti hai ya household expenses ke liye aur nahi toh unki fanicial condition thik nhi hoti hai tab aur saath hii medical emergency ke liye ese kai saare reasons hai jinke ke liye log personal loan lete hai…

Yeh loan aap logo ko koi aur nhi balki indian bank se aap personal loan le sakte hai taki apne basic ya aur baki zarurato ko aap poora kar sake aur iss loan mein aapko kai saare fayde milte hai jaise ki loan lene samay aapko koi bhi asset deposit nahi rakha padta hai.

Indian Bank Personal Loan kya Hai?

Yeh aapko personal loan de kar suvidha pradan karti hai aur aapko jo bhi fanicial zarurat hai unko poora karne mein help karti hai aur aap ko basically personal zarurato ko poora karne ke liye personal loan ki zarurat padti hai toh aap indian bank ke help se kar sakte hai.

Indian Bank Personal loan ke Benefits?

Aage hum indian bank personal loan ke benefits par baat kar lete hai..

1.kam interest par bhi aapko loan provide karwa diya jata hai.

2.Aur isme aapko security deposit karne ya kuch mortgage rakhne ki zarurat nahi hoti hai.

3.Isme aapko amount jo hai ek baar mein hii de diya jata hai.

4.Aur isme time duration bhi aapko aacha khasa mil jata hai.

5.Iss loan ko har ek vyakti jinko zarurat hai personal loan ki wo indian bank se le sakta hai.

Indian Bank Personal Loan Kitna Milta Hai?

Toh yeh jaan lete hai ki aap logo ko indian bank personal loan lene ke liye kitna loan deti jisse aapko jis bhi kaam ke liye chahiye wo amount mil sake toh yeh amount kuch iss prakar se hai 10 lakh.

Indian Bank Personal Loan kitne Dino ke Liye Milta Hai?

Indian Bank Personal loan aapko jo hai 7 years tak ke liye milta jisse aap jo hai asani se paiso ko iss time period mein return kar sake.

Indian Bank Personal Loan Lene par Interest Rate Aapko Kitna Dena Padega?

Ab jaan lete hai ki iska interest rate kitna hai jo aapko bank ko dekar poora karna padta hai 10.00%-15.00% per annum ke hisab se hai jisko bank ko dena hota hai.

Indian Bank Personal loan ke liye Eligibility?

Isme eligibility kuch iss prakar se hai…

1.EPF pensioners and CRS retirees are not eligible.

2.Minimum age jo ki personal loan ki requirement hoti hai 21 years.

3.personal loan lene ke liye aap indian hone chahiye.

4.Aur isme aapko job experience hona zaruri hai.

5.Aur aapki salary bhi thik thak honi chahiye.

Indian Bank Personal Loan Lene ke Liye Required Documents?

1.Salary slip for the last 6 months with tax deduction form 16 hone chahiye.

2.Pan card jo ki kisi bhi loan mein mandatory hote hai.

3.Form 16 ITR ke documents hone chahiye aapke pass.

4.Employment proof:-ID card given by the employer,copy of employment order, employee number.

5.KYC documents:-Aadhar card, ration card, driving license, voter id card.

6.PPO portion of the pensioner ke papers ho.

7.Aur salary certificate ki copy, income tax return ki copies honi chahiye.

Visit : https://www.indianbank.in/category/loans/personal-individual/#!

Indian Bank Se Personal Loan kaise Le/Indian Bank Se Personal Loan kaise Apply kare?

Toh baat karte hai ki aap log indian bank se personal loan kaise apply kar sakte hai.

Pahle toh aapke paas indian bank ka existing account hona chahiye.

Fir aapko uske official website par visit karna hota hai.

Then aapko personal loan ke option par click karna hai.

Iske baad aapko iske loan ka jo home page milega uss section mein how to apply ka option milega.

Fir aapko uss par tap karna hai.

Then application form par click karna hai.

Fir aapko jo bhi required documents chahiye honge usse documents ke saath attach karna hai.

Then aapko apne nearest branch mein jaakr waha form ko submit kar dena hai.

Then aapka personal loan verified ho jayega.

Conclusion?

Toh aaj ke article mein aapko maine personal loan ke baare me bataya ki aap log kaise iss loan ke liye apply kar sakte hai aur isme aapko Collateral free services provide karwai jati hai jiise aap asani se loan le paye.

I hope so ki aapko yeh article samajh aaya ho.

Aashish Kummarr

About Aashish Kummarr

Check Also

Canara Bank Current Account Opening? | Canara Bank Current Account Open Kaise Kare?

Namaskar sathiyao, Kaise hai aap sabhi log ummid karti hoon badiya honge toh aaj ke …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x