Namaskar sathiyo
Kaise ho aap sabhi log ummid karti hu acche bhale honge toh aaj ka article aap logo ke liye naya hai kyuki aaj ke article mein aapko current account ke baare mein batane wali hoon aur aap logo ke liye kis prakar se helpful hai aur iss current ko open kon log open karwa sakte hai ye sabhi ke baare me hum aaj ke article mein jaanege.
Aaj ke date ki baat kre toh job karke bhi log khush nhi hai kyuki unki basic zaroorat bhi aksar poori nhi ho pati hai jiske liye wo chahte hai ki wo kuch yaani khud ka startup shuru kare aur jisse basic zarurat hii nhi balki aur jo logo ki need hai wo bhi poora ho sake jiske liye log aksar jinko business karna hai wo apne account ko manage karne ke liye ek behtar account search karte hai unme se ek account current account hai jo kewal business karne wale vyakti ke liye hii yaha aap easily apna current account open karwa sakte hai.
Indian Bank Current Account kya Hai?
Table of Contents
So yeh account wahi log open karwa sakte hai jinko business karna ho ya usse judna ho aur business karne ke liye zarurat hai ki aapke pass current account ho taki transaction ya business related sabhi facilities mil sake.
Indian Bank Current Account Opening ke Benefits?
1. Pehla toh yeh ki isme aapko Card facilities milti hai.
2.Aur aap Unlimited accessibility kar sakte hai.
3.Transaction bahut aasan hogi jisse log lenden aasani se kar payenge.
4.Account ko aasani se accessibility kiya ja sakta hai.
5.Low minimum balance requirements hoga maintain ke liye.
6.Internet banking facility yaha provide krwai jati hai.
Indian Bank Current Account Opening Eligibility?
1.Any resident individual hone chahiye aap.
2.Entities such as proprietorship, partnership, firms and limited companies ke saath jude hona chahiye.
3.Joint hindu families se belong kare hue ho.
4.All documents are needed for the opening current account ke ho.
5.Aur koi bhi kisi na kisi business se juda hona chahiye.
Indian Bank Current Account Opening Documentation?
1.proof of identity
Pan card
Passport
Voter id card
Aadhar card
2.proof of address
Passport
Driving license
Pan card
Voter identity card
3.proof of entity issued by the government authority, department as registration documents ho.
4.proof of address of the firm hone chahiye taki documents poore kiye ja sake.
5.Business pan card hona mandatory hai.
6.Registration certificate of the firm with the registar of the firm hona chahiye.
7.partnership deed and letter signed by all partners ke ho.
Indian Bank Current Account Open kaise kare In Offline Mode?
Isme pahle toh aapko indian bank ke branch mein jana hoga.
Waha se current account opening ke liye form lena hoga.
Sath hi aapko document ke baare mein pata karna hoga jo needed hai.
Fir form ko fill karna hai apni details acche se fill karni hai.
Aur form ko aur documents ko dono ko attached kar dena hai.
Then ispe authentic signature karna hai.
Then aapka form successful submit ho gaya hai.
Indian Bank Current Account Open kaise kare In Online Mode?
Isme aapko iske website par visit karna hoga.
Then indian bank ke website par jaakr iske link ko open karna hai.
Uske baad aapko current account opening form par click karna hai.
Then waha par aapko apni details ko acche se fill karna hai.
Aur saath saath hi apne documents ko online hii submit karna hoga.
Then submit ke option par click karna hai.
Fir aapka form successful submit ho jayega.
Indian Bank Current Account Opening GST Needed?
Waise toh business ko shuru karne ke liye GST ki need hoti hii hai lekin agar aap log par nhi hai toh thik aap jab Tak ke liye eKYC ke base par current account open karwa sakte hai.
Indian Bank Current Account Minimum Balance Management?
Isme aapko jitna balance ko lekar manage karna padega wo hai 1 lakh rupee tak aapko jo hai indian bank current account mein balance ko manage karna hoga.
Indian Bank Current Account Opening Charges & Fees?
Baat kare ki isme aapko charge kitna dena padega toh main aapko bata doo isme aapko koi bhi kisi bhi prakar ka charge dena nahi padta hai.
Indian Bank Current Account passbook provide karwata Hai?
Hann yeh aapko baki banko ke tarah hii jaise koi bhi account open karwane ke baad passbook diye jate hai same indian bank current account mein bhi aapko passbook diya jata hai.
Indian Bank Current Account ATM Card Milta Hai?
Aur baat kare ATM Card ki toh isme bhi aapko ATM Card ki facilities provide karwai jati hai jaise ki baki koi bhi account open karwane ke baad di jati hai isme bhi same yahi process hai.
Indian Bank Saving Account ko Current Account Mein Convert kar Sakte Hai?
Nhi hum saving account ko current account mein convert nahi kar sakte as per the rule of RBI.
Conclusion?
Toh aaj ke article mein humne jaana ki current account opening ke liye aapke pass kon konse documents hone chahiye aur kya eligibility hai iss current ko open karwane ke liye jisse aap current account indian bank mein open karwa sake.
Ummid karti hoon aapko yeh article pasand aaya ho.
Aashish Kummarr