HDFC Bank Mudra Loan Kaise Le? | HDFC Bank PMMY Loan Apply Online? | HDFC Bank e-Mudra Loan?

Hello friends,

So,kaise ho aap sabhi log ummid karti hoon acche bhale honge toh aaj ke article mein hum jaanenge ki aap log business shuru karne ke liye Pradhan Mantri Mudra yojna ke dwara aapki help kis prakar se loan dilwa ke ki jaati hai aur yeh scheme aap sabhi jinko business karna hai unn sabhi ke liye laabh dayak hai…

Business karne ke liye hona chahiye ki aapke pass ideas plus funding uske liye jis bhi type ka aap business kar rahe hai toh chota ya bada business jiske liye humhare pass ideas plus funding hii nhi hoga toh hum kaise business ko shuru kar payenge aur saath hii humhe aage chal kar bahut si problem ko face karna pade isliye humhare pass dono hi chijo ki samjh honi hai taki koi bhi vyakti business easily kar sake bina kisi problem ke..

Yeh toh baat rahi problems ki ab iss problem ko kaise solve karenge toh mai aapko bata Pradhan Mantri Mudra yojna ek esi schmes hai jisse aap log business shuru kar sakte hai aur pmmy ke dwara aapko business karne mein madad milti hai.

HDFC Bank Pradhan Mantri Mudra yojna kya Hai?

Yeh jo ki government ne nikali hai pmmy schmes aap  logo ko loan dilwa kar aapki business startup mein madad karti hai jisse aapko iss loan ka kaafi saare fayde milte hai jo ki yeh loan aapko HDFC Bank dilwa rahi hai toh isme aapko saari facilities aur service provide karwai jati hai.

HDFC Bank Pradhan Mantri Mudra yojna ke kya Benefits Hai?

1.Yeh loan kewal upper class ke log nahi balki middle class family bhi le sakti hai.

2.Flexible interest rate yaha aapko jo hai provide karwaya jata hai.

3.Iss loan mein aapko kisi bhi type ke asset ko as a security deposit nahi rakha padta hai aur yeh loan collateral free loan mein aata hai.

4.Yaha aapko baki banko ki tarah hii saari facilities provide ki jati hai.

HDFC Bank Pradhan Mantri Mudra yojna se kitne Amount Tak ka Amount paa sakte Hai?

HDFC Bank se aap jab Pradhan Mantri Mudra yojna ke through loan lete hai toh bank aapko kitna amount deti hai wo deti 10 lakh tak ka amount.

HDFC Bank Pradhan Mantri Mudra yojna ka Interest Kitna pay karna padta Hai?

HDFC Bank se aap jab Pradhan Mantri Mudra yojna ke liye loan lete hai toh uska byaj jo aapko pay karna padta hai wo 12% tak ka interest hai jisko bank ko pay karna hota hai.

HDFC Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Tenure Timing?

Isme aapko loan return karne ka samay jo bank apne side se aapko deti hai jisse aap loan aram se return kar paye wo hai 5 years tak ka duration timing.

HDFC Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Eligibility?

1.Isme aapki age kam se kam18 years honi chahiye.

2.Aur zayada se zayada age 65 years honi chahiye.

3.Isme hai ki aap non farm related income generating business in trading, service and manufacturing.

4.Aap private limited company ke employee ho aur public sector undertakings, including central, state and local bodies.

5.Aur saath hi aapka financial status kaafi behartein ho.

HDFC Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Documentation?

1.HDFC Bank se Pradhan Mantri Mudra yojna loan ke apply ke liye aapke pass valid photo identity proof hona chahiye.

2.Saath hi iske liye aapke pass current address proof hona chahiye.

3.proof of income ke tor pe aapke pass latest ITR financial docs of Income hona zaroori hai.

4.Last 6 months bank statement hone chahiye taki documents pass kar sake.

5.loan application form hone chahiye jisse aage ka process jald hi shuru kiya ja sake.

6.Ownership proof of residence/ office jiske behalf par aapka loan approved kiya ja sake.

7.Proof of continuity of business ho jisse documents poore hone mein madad mil sake.

8.Trade references hona mandatory hai.

HDFC Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Contact Helpline Number?

18002026161/18602676161

HDFC Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Kaise Apply kare..

SHISHU YOJNA

Toh pahle aapke pass HDFC Bank ka account hona chahiye chahe saving account ya koi aur account ho.

Iske baad aapko HDFC Bank ke branch par ya online mai hi shishu yojna ke application form ko download karna hai.

Uske baad printout nikalwana hai aur aapko form ko fill karna hai.

Then aapko document ko form se attached karna hai.

Uske baad aapko HDFC Bank mein jaakr iske branch mein submit karna hai.

Fir aapka form successful submit mana jayega.

Visit : https://www.hdfcbank.com/personal/borrow/other-loans/pm-mudra-yojana

TARUN YOJNA & KISHOR YOJNA

Isme aapke pass HDFC Bank ka saving account ya koi bhi account hona chahiye.

Uske baad aapko iske branch ya online hii HDFC Bank se Tarun aur kishor yojna par jana hai.

Aur usko download karke then print out nikalwana hai.

Aur fir aapko apne form aur documents ko attached kar dena hai.

Then aapko form ko HDFC Bank ke nearest branch mein submit kar dena hai.

Tab jaake aapka tarun aur kishor yojna successful submit ho jayega.

Kya HDFC Bank ke alawa sabhi banks Pradhan Mantri Mudra yojna provide karwate hai?

Hann zyadatar banks aur sabhi banks aapko loan yaani ki Pradhan Mantri Mudra yojna Loan provide karwate hai.

Kya sabhi loan collateral free loans mein aate hai yaa nahi?

No,sabhi loan toh nhi keh sakte but Pradhan mantri mudra yojna mein aapko Collateral free services provide karwai jati hai.

Conclusion?

Toh aap logo ne aaj ke article mai Pradhan Mantri Mudra yojna loan ke baare me jaana aur samjha hoga ki iss scheme ke through aap apna business kar sakte aur uske liye help aapko yeh scheme karti hai.

Ummid karti hoon aapko yeh article pasand aaya ho.

Aashish Kummarr

About Aashish Kummarr

Check Also

Indian Bank Business Loan Kaise Le? | Indian Bank Business Loan Apply Online 2023?

Hello friends, Toh kaise hai aap log sabhi asha Karti hoon badiya aur bhale honge …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x