Hello dosto,
Kaise hai aap sabhi log asha hai behartein honge aur khush honge toh aaj ka article aap logo ke liye kaafi useful aur aapke sapne ko ya needs ko poora karne mein madad karega wo hai aap apna khud ka business shuru karke kar sakte hai business karne ke liye aapko funding kon karega wo bhi kaise aur aap business karne ke liye loan kaise le sakte hai aur usko apply kaise karenge aage hum inhi sab ke baare mein jaanne wale hai..
Aaj ke samay mein logo ka koi na koi dream zarur hota hai unme se ek dream yah bhi hota hai ki unka khud ka business ho jise wo khud handle kar rahe ho aur uss business ke owner ho toh aaj ke date mein log kewal job ke picche nhi bhag rahe hai business karna hi unka ek dream ban chuka hai jiske liye wo din raat mehnat karte hai aur ab Business karna sirf ek sapna nahi balki logo ki zarurat ban chuki hai isliye bhi log sirf business karna chahte hai jo ki aapko Central Bank of India deti hai..!
Central Bank of India Business Loan kya Hai?
Table of Contents
Central Bank of India yeh wo bank hai jo ki aapko apne needs ya dream ko poora karne mein help karti hai business ko shuru karwa ke waise toh aapko harr ek bank jo hai business loan deti hai lekin mai aapko bata doo unn sabhi banko mein se ek bank Central Bank of India hai jo aapko kam interest rate pe loan provide karwati hai.
Central Bank of India Business Loan ke Benefits?
1.Isme aapko tax benefit ko fayda mil jata hai jab aap Central Bank of India se business karne ke liye loan lete hai tab.
2.Business Loans usually need minimal documentation.
3.They can be disbursed quickly.
4.Isme aapko jo hai working capital aur overdraft facility available karwai jati hai.
5.Isme interest rate affordable hota hai aap sabhi ke liye
Central Bank of India Business Loan Kitna Milta Hai?
Ab baat karte hai central bank of india aapko khud ka business shuru karne ke liye kitna amount deti hai jisse ki aap apne business ko bada sake iske liye aapko 5 lakh tak ka amount Milta hai.
Central Bank of India Business Loan Lene Par Aapko Kitna Byaz Dena Hota Hai?
Hum interest rate yaani ki jab aap kisi bhi bank se loan lete hai toh aapko uske badle jo byaj dena hota hai wo aapko 8.70%-12.80% itna bank ko return karna padta hai.
Central Bank of India Business Loan Kitne Dino Ke Liye Milta Hai?
Ab jaan lete hai ki aapko jab business karne ke liye bank se loan lete hai toh aapko bank loan return karne ka samay kitna deti hai wo hai 10 years.
Central Bank of India Business Loan Kon Le sakta Hai?
Iss loan ko lene ke liye aapki eligibility criteria kya honi chahiye…
1.Your business should also be at least 3 years old.
2.5 Saal aapka total business experience hona chahiye.
3.Self-employed individuals, proprietors, private Ltd.
4.Partnership Firms involved in the business of manufacturing, trading or services.
5.Aapki age 24 years and 70 years of age honi chahiye.
Central Bank of India Business Loan Lene ke Documents?
1.Proof of identity:-
Voter ID card
Driving license
Pan card
Passport
2.Proof of residence:-
Recent telephone bill
Electricity bill
Property tax receipt
3.Business ka address proof aapke pass mojud ho.
4.Last 3 years ki balance sheet of the units along with income tax,sales tax return etc aapke paas ho.
5.Copy of sales TAX,VAT any other tax registration hona chahiye.
6.Rent Agreement and clearance from pollution control board agar aapke pass ho toh.
7.Aur saath hi memorandum and articles of association of the company, partnership deed of partners etc ho.
8.SSI, MSME registration agar applicable ho toh.
Visit : https://www.centralbankofindia.co.in/en/cent-business
Central Bank of India Business Loan kaise Le/
Central Bank of India Business Loan Kaise Apply kare?
Online Method:-
Aapko pahle Central Bank of India ke website par jana hai.
Then apply for online loan.
Fir aapko zarurat hai iske msme wale website par jane ki apply online par jakar msme ke andar jansamarth ya cbiloan par jaa sakte hai..
Then aapko msme loan application form ko fill karna hoga vahhe wo jansamarth par ho ya cbiloanin59minutes par
Jo bhi details pooche hai usse fill karna hai.
Aur kuch apne personal documents ko attached karna hai online mein hi.
Then form ko submit karna hai.
Fir aapka application form ka process start hoga.
Visit :https://www.centralbankofindia.co.in/en/Apply_Online
Offline Method:-
Yaha aap directly bank jaakr business loan ke liye apply kar sakte hai.
Iske liye aapko apne nearest bank mein jana hoga.
Then aapko business loan apply ke liye poochna hai uska poora process.
Fir aapko application form ko fill karna hai.
Aur kuch necessary documents ko lekar jaana hai.
Dono ko attached karna hai form ko aur apne kuch important documents jo maange hai.
Then apne signature ke saath submit karna hai.
Fir aapka form successful submit ho jayega.
Conclusion?
Toh aaj aapne jana ki business karne ke kya kya fayde hai aur aapko usse kitna profit hota hai aur aap apne needs aur dream ko kaise fullfill kar sakte hai business ke through aur aapke pass kon konse documents hone chahiye business loan lene ke liye.
Asha hai aapko yeh article behartein laga ho.
Aashish Kummarr