Hello friends,
So kaise hai aap sabhi log ummid karti hu badiya honge toh aaj ka topic Pradhan Mantri Mudra yojna Loan ke baare me hai jiske poore process ke baare mein jaanenge ki aap log kaise Pradhan Mantri Mudra yojna Loan ke liye apply kar sakte hai aur basically aapko business karne ke liye loan provide karwate hai jo government ki niakli hai pmmy jaha aap loan le sakte hai..
Aaj ki date mai har koi acha paisa kamana chahta hai par ye har koi nhi kr pata aur aaj kl business krna itna zyada badh rha hai jisse vo profit kama sake zyada se zyada har koi isse field mai jaana chahta hai taaki sab achi income earn kr sake aur apni zyada se zyada needs fulfill kar sake jese vo apne bacho ko achi education de sake isse aur har vyakti khud ka business krna chahta hai apne better future ke liye taki vo apne acha earning kar sake.
Union Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna kya Hai?
Table of Contents
Toh mein aapko ye bata chuki hu ki aap ki Pradhan Mantri Mudra yojna government ki scheme mein se ek hai aur yaha aapko union iski help se business karne ke liye aap loan ke sakte hai easily.
Union Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna ke kya Benefits Hai?
1.Aapko loan return karne ka samay kaafi accha mil jata hai.
2.Yaha se aapko business karne ke liye jo amount diya jata hai wo kaafi accha diya jata hai.
3.Iss loan ka fayda harr koi vyakti utha sakta hai.
4.Aur jab aap loan lete hai toh uska interest rate aapke budget mein hota hai.
5.Iss loan ke liye aapko koi bhi security deposit nahi rakha padta hai.
Union Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna se kitne Amount Tak ka Amount paa sakte Hai?
Baat karte hai union bank of india Pradhan Mantri Mudra yojna se aap log kitne tak ka amount le sakte hai toh yeh aapko 50,000-10 lakh tak ka amount dilwati hai.
Union Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna ka Interest Kitna pay karna padta Hai?
Iske interest ki baat kare toh ye aapko per year ke hisab se aapko 7.30% dena hota hai including MCLR+0.40% se MCLR+1.65% pay karna padta hai alag alag bank ke hisab se alag hoti hai.
Union Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna Tenure Timing?
Isme aapko jo loan ke hisab se time limit diya jata hai wo hai 84 months jiske bich aapko loan ko wapis karna padta hai.
Union Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna Eligibility?
1.Pahle toh aap indian hone chahiye.
2.Aur aapki age kam se kam 18 honi chahiye.
3.Aur zayada se zayada 65 honi chahiye.
4.Aapko loan lene ke liye aapke sabhi documents jaise eKYC documents hone mandatory hai.
5.Aap kisi na kisi business entity se jude hone chahiye.
6.Aapka financial status kaafi strong hona chahiye.
Union Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna Documentation?
1.pahle toh aapke pass eKYC documents jaise ki..
Aadhar card
Pan card
Voter id card
Passport
2. Residential documents
Electricity bill
Telephone bill
Property tax report
3.SC,ST,OBC certificate if aapke pass ho toh.
4.2 passport size photograph honi chahiye.
5.Business pan card jo ki aapke document ko poora karne mein madad kare.
6.Income proof last 2 years ki honi chahiye.
7.Quotation of all machines yeh bhi documents ka part hai.
8.Bank statement of minimum 6 months ki honi chahiye.
Union Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna Contact Helpline Number?
1800222244
Union Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna Loan kaise Apply kare…
SHISHU YOJNA
Toh pahle toh aapka union Bank of India mein koi bhi account hona chahiye like saving account ya koi sa bhi account ho.
Uske baad aapko union Bank of India ke site par jakr shishu loan ke application form ko pdf format me download karna hoga.
Then fir uska printout nikalwana hai aur fir form ko acche se fill karke apne documents ke saath attached kar dena hai.
Uske baad aapko union bank of india ke branch par reach karke submit kar dena hai.
Fir aapka Pradhan Mantri Mudra yojna successful apply ho jayega.
TARUN YOJNA &KISHOR YOJNA
Toh isme aapko tarun aur kishor yojna ke application form ko download karna hai.
Aapko application form mein tarun aur kishor yojna ko choose karna hai.
Then apni details acche se fill karna hai.
Uske baad apne documents aur application form ko attached kar dena hai.
Uske baad apne nearest branch me jakar submit kar dena hai.
Then aapka form successful submit ho chuka hai.
Kya Union Bank of India ke alawa sabhi banks Pradhan Mantri Mudra yojna provide karwate hai?
Toh mai aapko bata doo ki zayada banks jo hai aapko Pradhan mantri Mudra yojna loan provide karwate hai.
Kya sabhi loan collateral free loans mein aate hai yaa nahi?
Nahi Lekin Pradhan Mantri Mudra yojna mein aapko collateral free services provide karwayi jati hai.
Conclusion?
Toh maine iss article ke madhyam se aapko union Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna se aap kis tarike ke loan ko lene ke liye apply kar sakte hai aur uske poore concept ko humne iss article ke madhyam se samjha..
I hope aapko yeh article samajh aaya ho.
Aashish Kummarr