Namaskar sathiyao,
Kaise hai aap sabhi log ummid karti hu badiya honge toh aaj ke article mein current account mein baare mein aap jaanege ki current account kya hai aur kis prakar se aapki help karta hai toh isme aapko current account ke baare mein pata chalega jaise ki saving account jo ki koi bhi vyakti open karwa sakte hai waise hii current account nhi hai ye kewal business karne wale vyakti hii isme apna account open karwa sakte hai…
Jaise ki aaj ke samay mein har koi vyakti chahta hai ki wo business startup kare chahe chota ho ya bada jo ki apne expenses ko maintain kar paye lekin wo apne liye esa koi account search karte hai specifically business purpose ke liye kaam hai hai wo koi aur account nahi balki current account hai jo ki business karne walo ke liye kaam karta hai aur isme business karne wale log apna account easily maintain kar sakte hai.
State Bank of India Current Account kya Hai?
Table of Contents
State Bank of India Current account jaha business jisko karna hai wo easily kar sakta hai aur business karne wale vyakti ke liye current account best hai jisse wo yaha se easily transaction bhi kar sakte hai isliye zyada tar vyakti jinko business karna hai wo apna current account open karwate hai.
State Bank of India Current Account Opening ke Benefits?
1.Current account mein aapko balance management karna padta hai magar koi exact number current account ke case mein nahi hota hai kyuki yeh aapke business model or expansion par depend karta hai.
2Saving account mein transaction ke liye cheque etc more issue nahi kar sakte lekin current account mein aapko zayada features milte hai.
3.Aur Current Account jo ki business karne wale vyakti ke liye hota hai toh isme wo forex trading kar sakte hai aur other countries ke saath export , import bhi.
4.Aur yaha par aapko minimum amount ko maintain karna padta hai aur average balance aapke business ke according wo manage karte hai.
State Bank of India Current Account Opening Eligibility?
State Bank of India Current account ki eligibility jiske karran aapka account open Kiya jayega…
1.Indian residence hone chahiye.
2.Aur saath hi two or more individuals (for joint account)
3.Groups such as association,clubs, societies, trusts etc.
4.Joint Hindu families (non-trading accounts only)
5.Entities such as proprietorship, partnership firms, and limited companies honi chahiye.
State Bank of India Current Account Opening Documentation?
Ab baat karte hai state bank of india current account opening ke liye konse documents ki zarurat padti hai…
1.2 passport size photograph honi chahiye.
2.identity proof:-
Pan card
Driving licence
Aadhar card
Voter id card
3.Address proof:-
Valid passport
Property tax bill
Utility bill
4.Employment proof:-
Letter of joining kb kiya hai.
Income certificate honi chahiye.
5.identity proof and address proof of the executors,trustees, adminstration and other ke hone chahiye.
6.A signed letter for account opening ke adult co-parceners of the joint hindu family.
7.Registration document, certificate provided by the authority of service tax,sales tax, professional tax ke documents hone chahiye.
8.Sales and ITRs in the name of sole proprietors hone chahiye.
State Bank of India Current Account Open kaise kare In Offline Mode?
Pahle aapko SBI ke nearest branch mein visit karna hai.
And waha ke employee se form borrow karna hai.
Then fill karna hai form ko according to the specifications.
Then form ko submit karna hai jo bhi documents hai usse attached karne ke saath.
Aur passport size photograph attach karke with authentic ke saath submit kar dena hai.
24 hours mein aapke pass notification aa jayega form submit karne ka.
Visit: https://sbi.co.in/web/business/sme/current-accounts
State Bank of India Current Account Open kaise kare In Online Mode?
Pahle aapko SBI ke official website par jana hai.
Uske baad aapko form ko fill karna hai.
Then saari information likhi hongi tab jaake aapko apne documents poore karna hai.
Jo bhi details required hai usse deni hai.
Fir aapka form successful submit hoga.
State Bank of India Current Account Opening GST Needed?
Agar aapke pass GST nhi hai toh jaruri nahi hai ki iss base par aapka current account open ho jayega waise business tax payer ko proceed karne ke liye GST need hoti hai agar nhi bhi hai toh aap abhi ke liye aap eKYC documents se bhi aap current account open karwa sakte hai.
State Bank of India Current Account Minimum Balance Management?
Ab baat karte hai ki aap state bank of India mein kitna amount management kar sakte hai toh yeh aapko 5000 minimum balance management current account mein karna hota hai.
State Bank of India Current Account Opening Charges & Fee?
Isme aapko 550 per year waise dene hote hai State Bank of India Current account opening mein aur 500-8000 tak non-maintance charge fee hai.
State Bank of India Current Account passbook provide karwata Hai?
Yes jaise ki aap koi bhi account kisi bhi bank mein open karwate hai toh aapko passbook diya jata hai same current account jab aap open karwate hain toh aapko passbook provide karwa diya jata hai.
State Bank of India Current Account ATM Card Milta Hai?
Jaise koi bhi account open karwane ke baad ATM Card provide liya jata hai jisse aap paise nikal sake toh current account mein bhi aapko current account open karwane ke baad ATM card milta hai.
State Bank of India Saving Account ko Current Account mein convert kar sakte hai?
Jii nahi aap Saving account ko current account mein badal nahi sakte hai kyuki ye bank ka rule hai jisko hum change nahi karwa sakte.
Conclusion?
Toh aaj ke article mein aapko pata chala ki aap jinko business karna hai wo vyakti apna account kaha open aur kis bank mein open karwa sakta hai toh wo SBI mein apna current account open karwa sakte hai aur yeh basically business karne wale vyakti ke liye current account hota hai.
Ummid karti hu aapko yeh article pasand aaya ho.
Aashish Kummarr