Punjab National Bank Pradhan Mantri Mudra Yojana Loan Kaise Le? | PNB PMMY Loan? | PNB Mudra Loan?

Hello guys,

Kaise ho aap sabhi log asha hai behartein honge aur swaasth honge toh aaj ke article mein hum jaanenge ki Pradhan Mantri Mudra yojna aap log ki tarke se loan ke jaraye help karta hai aur jisse aap kisi bhi type ke business shuru kar sakte hai jiski aaj ki time mein kaafi jarurat hai logo ko pmmy government ki scheme hai aur isme aapko Kai saare fayde milte hai…

Pradhan Mantri Mudra yojna jo ki logo ko business karne mein help karti hai jese hum sabhi ko apni facilities ko pura krne ka mnn krta  hai jo normal salary se fulfil nhi hota even basic needs jese education bhi kahi log nhi de paate bacho ko jo kitna imp hai humare liye issiliye aaj kl hr vyakti business krna hi chahta hai taki vo apni saari needs puri kr sake.

Punjab National Bank Pradhan Mantri Mudra yojna kya Hai?

Yeh pmmy government dwara nikali gyi scheme hai jisse aap business karne ke liye yaha se loan easily le sakte hai aur yeh aapko baki banko jitni balki zayada facilities provide karwati hai jiski help se aap business ko shuru kar paye.

Punjab National Bank Pradhan Mantri Mudra yojna ke kya Benefits Hai?

1.jab aap loan lete hai Punjab National Bank se toh jo interest rate aapko milta hai wo aapke budget mein hota hai.

2.yaha se koi bhi middle class family ya koi bhi vyakti loan le sakta hai aur business shuru kar sakta hai.

3.yaha se loan lene par aapko koi bhi security deposit nahi karna padta.

4.Aur saath hi aapko tenure  yaani duration time kaafi accha mil jata jiise aap loan ko time se pahle usko return kar paye.

5.Aur ek middle class families ke log jinhone abhi tak koi bhi business shuru nhi kiya hai wo log yaha se loan easily le sakte hai.

Punjab National Bank Pradhan Mantri Mudra yojna se kitne Amount Tak ka Amount paa sakte Hai?

Toh ab hum baat karte hai Punjab National Bank Pradhan Mantri Mudra yojna aapko business startup karne ke liye kitna amount deti hai toh yeh aapko 10 lakh ka amount dilwati hai.

Punjab National Bank Pradhan Mantri Mudra yojna ka Interest Kitna pay karna padta Hai?

Toh hum interest ki baat kre jo aapko loan lene par uska byaj dena hota hai wo kuch iss prakar hai 9.15% per annum ke hisab se aapko bank ko dena padta hai.

Punjab National Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Tenure Timing?

Punjab National Bank ki tenure yaani ki duration time jo ki bank ne aapko time limit di hai wo hai 7 years tak ka time jisme aapko loan ko return karna padta hai.

Punjab National Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Eligibility?

1.Aur business esa hona chahiye jisse aapka potential to generate profit ho.

2.Aapke pass India ki citizenship honi chahiye.

3.Loan lene wala person kisi bhi business entity se juda hua ho.

4.Iss loan ko lene ke liye aap yeh inme se hone chahiye individual, business owner, retailer, manufacturers, SME and MSME hone chahiye.

5.Aur yeh loan wahi vyakti le sakta hai jo loan time par return kar de.

Punjab National Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Documentation?

Identity proof:-

Passport
Pan card
Voter ID card
Aadhar card
Driving licence
Central and state government issued photo ID card proof
Defence ID card

Residence proof:-

Telephone bill
Electricity bill
Water bill

Letter from any recognized public authority hone chahiye.

Applicant’s ki recent wali 2 passport size photograph honi chahiye.

Proof of minority,if applicable ho toh de sakte hai warna koi need nahi hai.

Statement of account of last 6 months.

Quotation of machinery,to be purchased  yeh jaruri hai.

Punjab National Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Contact Helpline Number?

Call at+919878981166

Visit: https://www.pnbindia.in/SMEBanking.html

Insta PNB Mudra : https://instaloans.pnbindia.in/mudra-loan/verify-customer#!

Punjab National Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Loan kaise Apply kare..

Pahle aapko mudra loan ke website par jana hai.

And go to the loan section aur mudra loan ke link par click karna hai.

Fir aapko eligibility criteria aur Pradhan mantri mudra yojna offered by Punjab National Bank then fill the application form.

And jo bhi documents ki need hai aur application form ko acche fill karke unn dono ko attached kar dena hai.

Then aapka form successful submit ho jayega.

SHISHU YOJNA

Isme bhi aapka Punjab National Bank mein  account hona chahiye.

Uske baad aapko pahle Punjab National Bank ke website par jana hoga.

Waha se application form ko download karna hai.

Iska loan amount jo hai 50,000 hai shishu yojna ka.

Then details ko acche se fill karna hai.

Uske baad aapka application form submit ho jayega.

TARUN YOJNA &KISHOR YOJNA

Isme bhi same process hai Online ya official website par ja sakte hai.

Then form ko download karna hai pdf format me.

Uske baad aapko tarun aur kishor yojna ke section par click karna hai.

Fir application form ko acche se fill karna hai.

Tarun mein 5 lakh to 10 lakh ka amount hota hai
Aur Kishor mein 50,000 to 5 lakh tak ka.

Then form successful submit ho jayega.

Kya Punjab National Bank ke alawa sabhi banks Pradhan Mantri Mudra yojna provide karwate hai?

Toh iska answer mein aapko bata doo ki zayada tar bank aur normally sabhi banks aapko loan yaani ki Pradhan Mantri Mudra yojna Loan ko provide karwate hai.

Kya sabhi loan collateral free loans mein aate hai yaa nahi?

No,but Pradhan Mantri Mudra yojna mein aapko collateral free services provide karwai jati hai.

Conclusion?

Toh guys humne Pradhan Mantri Mudra yojna Loan ke liye aap log kis tarike se apply kar sakte aur uske apply karne ke liye kya kya document ki need hoti hai aur yeh ek government ki scheme hai pmmy jisse aapko kai saare fayde milte hai usko iss article ke madhyam se maine samjhane ki koshish ki…

I hope so aapko yeh article mein saare doubt clear hue ho.

Aashish Kummarr

About Aashish Kummarr

Check Also

HDFC Bank Mudra Loan Kaise Le? | HDFC Bank PMMY Loan Apply Online? | HDFC Bank e-Mudra Loan?

Hello friends, So,kaise ho aap sabhi log ummid karti hoon acche bhale honge toh aaj …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x