Hello dosto,
Kaise hai aap sabhi log i hope so ki behartein honge toh dosto aaj ke article mein hum Pradhan mantri mudra yojna ke baare mein baat karne ja rahe hai ki yeh aakir konsi aur kis type ki yojna hai toh yeh prakar ki govt dwara nikali gyi schmes mein se ek hai jiska naam Pradhan Mantri Mudra yojna ke naam se hai aur yeh aapko kisi bhi type ke business karne mein karwati hai..
Jaise ki aapko pata hai ki ek middle class family jo salary base par kaam kar rahe hai unko ya unki itni income nhi hai ki apno ke expenses ko maintain ya handle kar sake jiske wajh se unhe kaafi sari problems ka samna karna padta hai aur agar wo iss case mein soche toh uske bhi paise kaha se laye toh inn sabhi problem ka solution ek hai wo hai govt dwara nikali gyi schmes hai jo ki aapko kam interest par loan provide karwati hai jisko aap business ke use mein easily la sakte hai…
UCO Bank Pradhan Mantri Mudra yojna kya Hai?
Table of Contents
Too UCO Bank Pradhan Mantri Mudra yojna aap sabhi ko kisi bhi prakar ke business karne ya uspe paise lagane ke liye loan dilwati hai jisse aap kam interest par loan easily le sakte hai kyuki yeh schmes government dwara nikali gyi schmes mein se ek hai pradhan mantri Mudra yojna yaha se kaafi log loan le sakte hai.
UCO Bank Pradhan Mantri Mudra yojna ke kya Benefits Hai?
1. Ek toh yeh ki aap mein se koi bhi vyakti iss loan ko le sakta hai aur iska laabh utha sakte hain.
2. Yeh government dwara nikali gyi schmes hai toh aapko Jayda interest dena nhi padta.
3.Yaha jinhone business nahi kara hai ya socha hai toh yaha se logo ko business karne ke liye loan easily mil jata hai.
4.Aur toh loan lene waqt aapko koi bhi security ya asset deposit nahi rakha padta hai.
5.Aapko jitna bhi loan chahiye business shuru karne ke liye wo aapko UCO Bank dilwati hai.
UCO Bank Pradhan Mantri Mudra yojna se kitne Amount Tak ka Amount paa sakte Hai?
Toh aage hum UCO Bank Pradhan Mantri Mudra yojna ke amount ki baat karte ki isme aapko kitna amount milta hai toh yeh hai 50,000 to10 lakh hai.
UCO Bank Pradhan Mantri Mudra yojna ka Interest Kitna pay karna padta Hai?
Toh ab baat karte hai jab aap loan lete toh uska byaj aapko kitna dena padta hai UCO Bank ko toh 8.85% hai.
UCO Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Tenure Timing?
Aap jab loan lete hai toh aapko loan return karne ka samay jo kitna milta hai toh aapko mein bata doo iski tenure timing hai 3 to5 years tak ka jisme aapko loan return kar dena hota hai.
UCO Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Eligibility?
1. Sabse pahle toh indian citizenship honi chahiye.
2.Uske baad aap mein se jo vyakti loan lena chahta hai wo kisi na kisi business se juda ho.
3.Aur jis bhi vyakti ne loan isse pahle jis kisi karan ke liye loan liya ho wo time par wapis kr diya ho.
4.Aur kisi bhi loan chukane ka sahi time raha ho.
5.loan lene wala vyakti partnership firm, private limited , public limited company and any other legal entity se juda ho.
UCO Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Documentation?
Ab aage dekhte hai ki UCO Bank se loan lene ke liye aapke pass kon konse documents hone chahiye…
1.identity proof ke liye aapke paas aadhar card, pan card, voter id card, driving licence hone chahiye.
2.Business plan ke documents aapke pass hona chahiye.
3.Agar koi aap mein se ST/SC category ka hai toh certificate attached kar sakta hai.
4.Income proof hona aapke pass mandatory hai.
5.Applicant ke pass 2 passport size photograph honi chahiye.
6.Last 12 months ki bank statement ho jisse aapke loan ke documents poore ho sake.
7.Aur saath hi business establishment certificate available ho.
UCO Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Contact Helpline Number?
18001030123
UCO Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Loan kaise Apply kare..
SHISHU YOJNA
Sabse pahle aapke pass UCO Bank ka account hona chahiye chahe koi bhi account kyu na ho.
Uske baad aapko UCO Bank ke online branch par visit karna hai.
Then shishu yojna ke application form ko pdf format me download karna hai.
Iske baad printout nikalwa kar aapko form ko fill karna hai.
Fir aapko document ke saath attached kar dena hai apne nearest branch me jakar.
Then aapka form successful submit ho jayega.
TARUN YOJNA & KISHOR YOJNA
Isme bhi same process hai lekin kuch chijo ko chhod kar isme aapko tarun ya kishor yojna ko choose karna hai.
Aur fir aapko form fill krke aapne documents ke saath attached kar dena hai.
Aur application form ko nearest branch par submit kar de.
Then aapka loan process ho jayega.
Kya UCO Bank ke alawa sabhi banks Pradhan Mantri Mudra yojna provide karwate hai?
Toh mein aapko bata doo ki UCO Bank ke alawa sabhi banks jo hai aapko Pradhan Mantri Mudra yojna provide karwati hai.
Kya sabhi loan collateral free loans mein aate hai yaa nahi?
Nahi but Pradhan Mantri Mudra yojna ese loan mein aata jo collateral free mein aata hai.
Conclusion?
Toh aap sabhi ne dekha ki UCO Bank se aap Pradhan Mantri Mudra yojna Loan kaise Apply kar sakte hai aur iska process humne dekha aur samjha iss article ke madhyam se.
Ummid karti hoon aapko yeh article pasand aaya ho.
Aashish Kummarr