Hello everyone,
Kaise hai aap sabhi ummid karti hu badiya honge toh aaj ke article mein hum current account ke baare me charcha karne wale hai ki aakir kon log yeh account open karwate hai aur kis purpose se jaise ki aap sabhi ko yeh baat bata hai ki aaj ke date mein logo ko paise ki kitni need hai jis wajah se log sochte hai ki kon sa kaam kare aur konsa nahi khi baar log business karne ki bhi sochte hai…
Aur yeh baat aapko acche se pata hogi ki hum account kyu aur kisliye open karwate hai taki paiso ko save aur secure rakh sake chahe wo upper level ya lower level ke log kyu na ho aur yeh baat toh aapko acche se pata hogi ki saving account har vyakti open karwa sakta lekin aapko yeh nhi pata hoga ki current account kon log open karwa sakte hai…
Toh mai aapko bata doo ki current account whi vyakti open karwa sakte hai jisko business karne ya firms ya kisi entity se connect ho aur aapko yeh mein doo kiHDFC Bank jo hai ek private bank hai jaha aap apna current account easily open karwa sakte hai business ke purpose se.
HDFC Bank Current Account kya Hai?
Toh hum baat karte hai current account kya yeh ek prakar ki private sector mein aane wala bank hai jo ki aapki current account open karwane mein help karti aur current account kya hai upper maine aapko bataya hai current account business karne wale mostly open karwate hai.
HDFC Bank Current Account Opening ke Benefits?
1.pehla benefit yeh hai ki aap isme limited transaction ke badle unlimited transaction kar sakte hai.
2.Jo bhi vyakti business kar raha hai wo bahar ki country ke saath export import kar sakta hai aur transaction ko dekhna hota hai.
3.Aur aap yeh dekhenge ki baki banko ya account mein humhe itne ya jayda features dekhne ko nhi milte lekin current account mein aapko Jayda features milte hai.
4.Current account mein paise hamesha customer ko provide karwai jati hai wo bhi zarurat padhne par.
HDFC Bank Current Account Opening Eligibility?
1.Resident individual hone chahiye.
2.Hindu undivided family se belong kare hone chahiye aap.
3.Sole proprietorship firms aapke pass hona mandatory hai.
4.Partnership firms ko handle acche kare hue ho.
5.Limited liability partnership firms hone chahiye.
6.Private and public limited companies ke baare mein knowledge ho.
HDFC Bank Current Account Opening Documentation?
Toh ab dekhte hai HDFC Bank Current Account Open ke documents ki jinki aapko need hoti hai…
1.proof of identity ke tor par aapke pass kya hona chahiye toh proprietor, trader, professional, institution, association etc. aur saath me pan card hona chahiye.
2.Proof of address ke liye yeh hona chahiye:- telephone bill, electricity bill.
3.Business registration certificate issued hone chahiye state government se.
4.Import aur export license issued hone chahiye
Director general of foreign trade se.
5.Aur saath hi aapke pass existing bank account statement hone chahiye.
6.Certificate of incorporation for limited liability partnership hone chahiye jo ki aapke current account ke documents ko poora karne mein madad kare.
7.Limited liability partnership agreement hone chahiye jo documents ka hisab hai.
8.Certificate of commencement of business for a public limited company ke hone chahiye.
HDFC Bank Current Account Opening Online mood?
1. Sabse pahle aapko HDFC Bank Current Account bank ke website par jana hai.
2.Download karna hai current account opening form ko.
3. Fir fill karna hai opening form ko bhi relevant and necessary details ko.
4.Aur saare documents ko collect karna hai jo bhi bank ko required hai.
5.Aur dono ko attached karke submit kar dena hai.
6.Fir aapka current account opening form submit ho jayega.
HDFC Bank Current Account Opening GST Needed?
Ab hum GST ke baare mein baat karte hai toh current account open karwane ke liye iski need hoti hai ya toh aapko bata deti agar business par GST applicable ho to daal sakte hai warna koi need nahi hai.
HDFC Bank Current Account Minimum Balance Management?
Ab baat karte hai HDFC Bank current account ke minimum balance management ki toh 10,000 hai jo ki aapko paiso ko manage karna padega current account opening mein.
HDFC Bank Current Account Opening Charges & Fee?
Ab hum dekhte charges & fee ki toh Isme aapko agar aap fee aache se ya sahi tarike se maintain nahi karte hai toh aapko iske charges dene padenge.
HDFC Bank Current Account passbook provide karwata Hai?
Toh iska answer hai yes jaise aap koi account open karwate hai toh aapko usme passbook diya jate same waise hii current account mein bhi aapko passbook provide karwaya jata hai.
HDFC Bank Current Account ATM Card Milta Hai?
Jaise ki kisi bhi account open karwane ke baad aapko ATM Card provide kiya jata hai same current account mein bhi aapko ATM card provide kiya jata hai jisse aap unlimited money nikal sakte hai jitne aapko need hoti hai.
HDFC Bank Saving Account ko Current Account Mein Convert kar sakte Hai?
Iska jawab hai nahi aap Saving Account ko Current Account mein convert nahi kar sakte as per the bank rules.
Conclusion?
So, aaj ke article aapke liye kaafi alag hoga kyuki aaj humne current account opening se related baat Kari hai jo ki kewal business man hii open karwa sakte hai aur saath hi iske liye aapke pass kon konse proof hone chahiye jiske baare mein humne samjha hai.
I hope so ki aapko yeh article pasand aaya ho.
Aashish Kummarr