Hello everyone aap sabhi kaise hai aap sab toh mai bata doo aaj ka yeh article aap sabke liye kaafi alag aur unique hone wala hai kyuki isme aaj hum business ke baare mein baat karenge aur dekhenge ki bank kis tarike se logo ko unka vyapar karne mai help karti hai plus loan provide krwati hai.
Canara Bank Business Loan Kya Hai?
Table of Contents
Ab baat karte hai business loan hai kya ye iss tarike se samjh lete hai ki harr vyakti chahta hai ki wo business kare lekin ek job karke wo possible nhi hai aur hum wahi dekhe ek business man apne sabhi sapno ko poora kar pata hai aur apne life style ko change bhi kar pata isliye inn sabhi ke liye canara bank jo ki vyakti ko loan dilwata hai business purpose se.
Canara Bank Business Loan Benefits?
1.Aapko unlimited ATM transaction milega jiise aap bina kisi limit ke paise ko nikal sakte hai.
2.Aur bank aapko zayada se zayada loan amount provide krwati hai.
3.Aur saath hi business loan mein aapko flexible repayment ka option mil jata hai.
4.Aapko loan proper secure way se mil jata hai.
Canara Bank Business Loan Amount?
Toh ab jaan lete hai canara bank jo hai wo logo ko business karne ke liye kitna amount deti hai toh mai aapko bata doo ki ye logo ko 10 lakh to 10 crore tak ka loan provide krwata hai.
Canara Bank Business Loan Interest Rate?
Ab dekhte hai ki Canara bank ka interest rate toh yeh hai 10.50% to 18% hai jo ki baki banko ke mukabale bahut km hai jise harr ek vyakti afford kar sakta hai.
Canara Bank Business Loan Tenure?
Ab baat karte hai canara bank business loan tenure yaani duration time jo ki 7 years with a maximum of 10 year ka hai jisme aap apna loan liya hua easily time se chuka sake.
Canara Bank Business Loan Eligibility?
Canara Bank se business loan lene ke liye aapke pass yeh yeh eligibility honi chahiye.
1. Aap Bharat ke nagarik hone chahiye.
2. Aapki age kam se kam 21 saal honi chahiye.
3. Aur saath hi aapki age maximum 65 years honi chahiye
4. Aapke paas koi na koi business hona chahiye.
5. Aapke paas business ka pancard hona chahiye.
Canara Bank Business Loan Documentation?
Canara Bank se business loan lene ke liye aapke paas yeh yeh documents hone chahiye.
1.ekyc documents
Aadhar card
Pan card
Driving license
Voter id card
Passport size photo
Authentic signature
2.Address proof documentation
Electricity bill
Telephone bill
Ration card
3.Business documentation
MOA sheet
Account statement
Business ka pancard
Income tax return recently 3years
Canara Bank Business Loan Processing Fee?
Canara Bank business loan ki processing fee ki baat kre toh mai aapko bata doo ki iski Processing fee 2.50% minimum Rs.1,000 aur maximum Rs.25,000 itni jisko aapko bank ko dena hota hai.
Canara Bank Business Loan Repayment?
Toh ab mai aapko bata doo ki jab aap log loan lete hai toh usko aap repay kaise kar sakte hai aur kis type se yeh mai aapko bata doo..
1.fednet (internet banking)
2.cheque ke through
3.mobile banking
4.NAch
Canara Bank Business Loan Kaise Le / Canara Bank Business Loan Kaise Apply Kare?
Offline method:-
Sabse pahle aapko canara Bank ke official site pr jana hoga.
Uske baad aapko menu bar par click krna hoga.
Then aapko loans ke section par click karna hai.
Uske baad usme aapko canara bank msme ya business loan par click karna hai.
Then saari details ke niche jana hai waha par aapko application form par tap karna hai.
Then application form mil jane ke baad uska printout karwana hai.
Application form ke poore section ko fill karne ke baad ek passport size photo aur authentic signature karke with sabhi documents ko attached kar dena hai.
And then application form ko canara bank ke branch par submiti kar dena hai.
Finally ab aapko business loan apply ho chuka hai.
Conclusion?
Aaj humne baat kari ki Canara Bank aapko business loan kaise provide krwata hai aur kis kis method taki aap loan easily afford kar paye.
Ummed hai aaj ka article aapko pasand aaya hoga.
Aashish Kummarr