State Bank Of India Home Loan Kaise Le | State Bank Home Loan Kaise Apply Kare?

Hello everyone kaise hai aap sabhi log mujhe ummid hai acche honge toh aaj hum baat karenge home loan se related jiski zarurat aaj ke time kaafi saare logo ko hai aur jiske liye harr ek vyakti mehnat karta hai taki uska ek apna ghar ho jaye lekin inn sabhi baatao mai ek chij samne aati hai ki aakir unko itna loan wo bhi kam interest rate aur bhi long time ke liye kon bank dilwayega toh mai bata do ki  state bank of india ye logo ko home loan provide krwata hai.

State Bank Of India Home Loan Kya Hai?

State Bank ek esa bank hai jo logo ko home loan dilwane mai madat karwati hai jinko home banwana hai ya uske prepare mai jinhe loan ki jarurat padati usse hum home loan kehte hai jo ki state bank easily provide krwati hai.

State Bank Of India Home Loan Benefits?

1.state bank se home loan lene par kam interest pay karna padta hai.
2.aapko paise return karne ka samay kaafi long time tak mil jata hai.
3.aapko bank loan zayada amount ka dilwa deti hai.
4.aur minimum documentation mai aapka loan approved ho jayega.

State Bank Of India Home Loan Amount?

Ab dekhte hai state bank of india home loan kitna deti hai ye deti hai 50 lakh iska loan amount itna hai.

State Bank Of India Home Loan Interest Rate?


Ab baat karte hai state bank of india ke home loan interest rate ki toh ye 8.05%-11.85% itna hai jo ki bank ko itna pay karna padta hai.

State Bank Of India Home Loan Tenure?

State Bank of india ki tenure ki baat kre toh ye 30 saal tak hai issi time mai aapne jo home loan ke liye loan liya hota hai uske wapas karne ka time.

State Bank Of India Home Loan Eligibility?

1. Pahle toh aap ek indian residential hone chahiye.
2. Aur aapki age kam se kam 18 honi chahiye.
3. Aur zayada se zayada 70honi chahiye.
4.Aap jo bhi kam kar rahe hai uska  2 year ka experience hona chahiye.
5.Aapke pass sabhi eKYC documents hona chahiye.
6.land se related sabhi documents ho.

State Bank Of India Home Loan Documentation?

Home loan lene ke liye jin documents ki jarurat padati hai wo hai…

1. eKYC documents

Aur aapke pass aadhar card hona chahiye.
Aapke pass passport hona jaruri hai.
Voter id card jisse aapki pehchan ki jaye.
Pan card se bhi aapni pehchan ki jati hai.

2. Address proof documentation

Telephone bill aapke pass hona jaruri hai.
Passport bhi hona chahiye.
Electricity bill bhi ho.

3.Home loan documents

Construction related documents.
Home loan project report.
Land property documents.

State Bank Of India Home Loan Processing Fee?

State Bank of india home loan ki processing charges jo hai wo 0.35% hai jiska aapko 2,000-10,000 pay karna padta hai.

State Bank Of India Home Loan Kaise Le /  State Bank Home Loan Kaise Apply Kare?

Online method:-

State Bank of india mai account hona chahiye.

Fir uski offical website pr visit karna hoga.

Aur internet banking access hona chahiye.

Fir aapko loan ke option par click karna hoga.

Aur fir aapko apni basic details fill karni hai.

Then jo bhi documents ki need hai unn sabhi ko upload karna hai.

Uske baad submit aur apply kar dena hai.

Offline method:-

Sabse pahle aapko apne branch mai visit krna hoga.

Fir aapko waha ke employee se baat krke home loan application form lena hoga

Aur aapko apni details fill karni hai.

Fir apne documents ke saath attach kar dena hai.

2 photograph aur authentic signature  sabhi papers par kar dena hai.

Uske baad aapka home loan submit ho jayega aur approved bhi.

Conclusion?

Toh aaj humne baat State Bank of India ke home loan ke baare mein baat ki aur ye dekha ki hum home loan kaise le sakte aur kaise apply kar sakte hai.

Ummid karti hoon aaj ye article pasand aaya ho.

Aashish Kummarr

About AashishKummarr

Check Also

HDFC Bank Mudra Loan Kaise Le? | HDFC Bank PMMY Loan Apply Online? | HDFC Bank e-Mudra Loan?

Hello friends, So,kaise ho aap sabhi log ummid karti hoon acche bhale honge toh aaj …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x