Uco Bank Education Loan Apply Online? | Uco Bank Education Loan Kaise Kare?

Hello sathiyon,

Kaise hai aap sabhi log ummid karti hoon badiya honge toh aaj ke article mein hum jaanenge ki education loan kon vyakti le sakta hai iski eligibility criteria kya hai jo ki iss loan le paye aur education loan mai humhe kitna interest jo hai pay karna padega…

Toh education ki baat hum kare toh aaj ke time mein aur aage future mein bhi kaafi helpful hai aur saath hi aap log aaj ke samay mein dekhte aa rahe hai ki education humhare liye kitna important hai na sirf job ke purpose ke liye baki sabhi field ke liye education sabke liye zaruri hai jiske liye log mehnat karte hai aur apne baccho ko acchi se acchi education provide karwane chahte hai lekin wo successful nhi ho pate kyuki unke basic needs hii poore nhi ho pate toh wo apne baccho ko acchi education kaise de payenge yeh humhe middle class families mein dekhne ko milti hai aur lower middle class mein toh zayada dekhne ko milti hai..

Jiske liye unko yeh bhi nhi pata hai ki unko apne baccho ki padhai ke liye UCO bank ek esa bank hai jo education loan ko provide karwata hai kewal ek vyakti ke liye nahi balki jin logo ko education loan ki zarurat hai wo yaha se loan easily le sakta hai aur apni padhai ko complete kar sakta hai.

UCO Bank Education Loan kya Hai?

Uco bank education loan ye loan aap logo ko aapki studies mein loan ke through help karti hai aur uco bank ke through aapko education loan provide karwaya jata hai jaha bina kisi pareshani ke aapko education loan provide kiya jata hai.

UCO Bank Education Loan Benefits?

1.Iss loan ko kewal wahi vyakti le sakte hai jinko apni study poori karni ho kewal education purpose ke liye tabhi ye bank unko poora sahyog deta hai.

2.Isme aapko kam interest rate par loan provide kiya jata hai bahut hi affordable price par.

3.Iss loan ke wajah se aap apni higher education, course kar sakte hai aur bina pareshani ke.

4.Yeh loan ke wajah se aapko literate banne mein help karta hai.

5.yaha se aapko jitna bhi amount apni padhai ke liye chahiye hota hai wo yaha se easily le sakte hai.

UCO Bank Education Loan Amount?

Isme aapko jo hai education loan ka bahut bada amount diya hai taki aap apni education bich mein na chhode aur continue use kare isliye bank aapko yeh amount dilwati hai 7.5 lakh ka amount.

UCO Bank Education Loan Interest Rate?

Iske interest rate ki baat kare toh yeh interest kuch iss prakar se hai 9.55%-10.05% interest hai jisko aapko bank ko pay karna padta hai

UCO Bank Education Loan Tenure Duration?

Yaha hum tenure duration ki baat kare toh yeh aapko jo time deta hai ki aap time se loan ko return kar sake bina kisi pareshani ke toh time deta hai 15 years tak ka time.

UCO Bank Education Loan Processing Fee?

Waise toh aap jab 4 lakh se zayada loan lete hai toh aapko jo hai processing fee deni padti hai aur yaha loan amount 7.5 lakh hai toh aapko jo hai processing fee deni hogi.

UCO Bank Education Loan Eligibility?

Iski eligibility criteria kuch esi hai…

1.Aap jo hai indian residence hone chahiye.

2.Regular full time degree aur diploma course honi chahiye.

3.Isme student ki koi age limit nahi hai iss loan ko lene ke liye.

4.Yeh loan lene ke liye aapke pass aur aapke parents ke pass sabhi documents hone chahiye.

5.Aapko loan inn course jaise technical course professional courses ug, pg ke liye milega.

UCO Bank Education Loan Documentation?

Education loan lene ke liye aapke pass kon konse documents hone chahiye..

1.Address proof:-


passport
voter id card
electricity bill

2.Academic proof :-

10-12 ki marksheet honi chahiye.

Aur saath hi mein undergraduate student and graduation degree & marksheet for PG students ki honi chahiye.

3.Family income proof:-

ITR
salary certificate
Pension certificate of parents/guardian.

4.Aur affidavit declaring that no study loan is availed hai koi bhi bank mein by the student and his/ her parent.

5.Admission certificate or 120 from the college/ University.

6.Collateral Documentation agar aapke pass ho toh LIC policy, valuation certificate,registry documents etc.

7.Aur aapke pass fee details hona zaroori hai.

Visit : https://www.ucobank.com/English/education-loans.aspx

UCO Bank Education Loan Kaise Apply kare?/ UCO Bank Education Loan kaise Apply kare?

Online Method:-

Yaha aapko iske official website pe visit karna padega.

Then waha aapko home par option show honge uspe click karna hai.

Education loan se related saari information ko padh kar.

Then usko fill karna hai saari details ko.

Waha aapko kai saare documents ko attach karne ko bolega online hii usse attach karna hai.

Then submit ke option par tap karna hai.

Uske baad aapka form process hoga.

Offline Method:-

Pahle toh aapko nearest branch mein visit karna padega.

Then waha aapko waha ke employee se baat karke form borrow karna hai.

Aur wahi se aapko education loan ke baare mein poora information unse leni hai.

Then tab jaake aapko form ko fill karna hai.

Aur apne saath le gaye documents ko unse pooch kar form ke saath attached karna hai.

Then fir aapko branch mein hii form ko submit karna hai.

Then aapka loan jaldi process ho jayega.

UCO Bank Customer Support?

18001030123

Conclusion?

Toh guys humne aaj ke poore article ko acche se samjha ki aakhir aap logo ko kaise jo hai uco bank ke help se education loan mil sakta hai aur isko apply karne ke liye aapke pass kon konse documents hone chahiye.

Asha hai yeh article aapko behartein laga ho.

Aashish Kummarr

About Aashish Kummarr

Check Also

HDFC Bank Mudra Loan Kaise Le? | HDFC Bank PMMY Loan Apply Online? | HDFC Bank e-Mudra Loan?

Hello friends, So,kaise ho aap sabhi log ummid karti hoon acche bhale honge toh aaj …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x