Hello guys,
I hope so ki aap sabhi log behartein honge toh guys aaj ke article mein hum ek schmes ke baare mein baat karne ja rahe hai jo ki government ne nikali hai jiska naam Pradhan Mantri Mudra yojna hai naam se hi pata chalta hai ki yeh scheme government dwara nikali schmes hai aur jaanenge ki aapko iss schmes se kya fayde honge jo ki humhe iss poore article ko padh kar pata chalega…
Aaj ke time mein business shuru karne ke liye kisi bhi vyakti ke pass uss business field ke liye proper knowledge honi chahiye aur saath hi ideas aur issi ke saath funding ka bhi important role hai balki kahe toh zayada hii hai kyuki iske bina koi business shuru nhi kiya ja sakta bhale wo business chota ya bada kyu na ho isliye bhi log aksar business nahi karna chahte hai kyuki unko funding ki problem hoti hai ki iske liye itna amount kaha se laye jiske liye aapki help pmmy schmes ke dwara hogi yaha se loan aapko easily mil jayega.
Indian Bank Pradhan Mantri Mudra yojna kya Hai?
Table of Contents
Jaise ki upper ke context main aapne dekha ki yeh scheme sabhi ke liye hai jinko bhi zarurat hai wo yaha se loan easily le sakta hai kyuki government ke side se hai aur aapko yaha baki banko ke tarah hii wahi facilities aur service provide karwai jayegi.
Indian Bank Pradhan Mantri Mudra yojna ke kya Benefits Hai?
Iske benefits kuch iss prakar se hai…
1. Pahle toh yaha se har ek person middle class families ho ya upper class families wo loan le sakte hai.
2. Yaha aapko loan refund karne ka time duration kaafi thik thak mil jata hai.
3.Isme aapko itna zayada interest jo bank ko dena padta hai wo zayada dena nhi padta jitna aapko lagta hai ki lgega.
4.Aap Pradhan Mantri Mudra yojna lene samay kisi bhi type ke asset ko as a security deposit nahi rakha padta.
Indian Bank Pradhan Mantri Mudra yojna se kitne Amount Tak ka Amount paa sakte Hai?
Baat kare indian bank ki toh yeh aapko jo hai 10 lakh tak ka amount dete hai wo bhi kisi prakar ka business kyu na ho.
Indian Bank Pradhan Mantri Mudra yojna ka Interest Kitna pay karna padta Hai?
Iske interest ki baat kare toh isme aapko jo hai 8.05% interest jo hai bank ko dena padta hai jo ki indian bank ke hisab se hai.
Indian Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Tenure Timing?
Jab aap yaha se yaani ki indian bank se Pradhan mantri mudra yojna Loan lete hain toh isko return karne ka samay jo aapko milta hai wo hai 7 years tak ka time.
Indian Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Eligibility?
Ab baat karte hai pradhan mantri Mudra yojna ke eligibility ki jise hum aage dekhenge…
1.Aapki Mininum age jo hai 18 honi chahiye.
2.Aur Maximum age 60 honi chahiye.
3.Aapko yah loan tabhi mil sakta hai jab aapne pahle koi bhi kisi bhi kaam ke liye loan liya ho usse time par de diya ho.
4.Aap loan lene ke liye yah hona chahiye ki aapka financial status kaafi accha ho.
5.Aap yahi ke yaani ki indian residence hone chahiye tabhi loan mil sakta hai.
Indian Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Documentation?
1.Aapka loan application wala form acche se fill ho with passport size photograph ke saath.
2.Aadhar card, voter id card, driving license, passport ho taki documents mein de sake.
3.Address proof ke liye water bill,tax bill, telephone bill, electricity bill,pan card hona zaruri hai.
4.Last 6 months account statement honi chahiye.
5.Income tax return (ITR) ki statement hona zaroori hai.
6.Documents of all Owners or business partners ke documents ho taki loan lene ke liye documents poore kiye ja sake.
7.SC/ST se jo vyakti belong karta ho uske paper uske paas hona chahiye.
Indian Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Contact Helpline Number?
1800 4250 0000
18004254422
Indian Bank Pradhan Mantri Mudra yojna Loan kaise Apply kare…
SHlSHU YOJNA
Pahle toh aap logo ke pass Indian Bank ka koi na koi account hona chahiye chahe saving account ho ya koi bhi account ho.
Uske baad aapko indian bank ke branch ya online hii whi se shishu yojna loan ke application form ko ko pdf format me download karna hai.
Yeh karne ke baad aapko form ko printout nikalwana hai aur fir aapko use poora fill karna hai aur jo bhi required documents hai use apne saath rakhna hai.
Aur documents ko attach kar dena hai application form ke saath.
Aur Indian Bank ke nearest branch par jaakr submit kar dena hai.
Then aapka form successful submit ho jayega.
TARUN YOJNA & KISHOR YOJNA
Same isme bhi aapko ese hii form ko fill karna hai indian bank Pradhan Mantri Mudra yojna Loan ke liye.
Isme aapko form mein shishu yojna ko choose na karke balki tarun aur kishor yojna ko choose karna hoga.
Aur application form ko acche se fill karna hai.
Aur apne documents jo bhi maange hai unhe form ke saath attach karna hai.
Then aapko indian bank nearest branch mein jaakr form ko submit kar dena hai.
Then aapka form successful submit ho gaya hai.
Kya Indian Bank ke alawa sabhi banks Pradhan Mantri Mudra yojna Loan provide karwate hai?
Hann zyadatar banks jo hai aapko Pradhan Mantri Mudra yojna Loan provide karwate hai.
Kya sabhi loan collateral free loans mein aate hai yaa nahi?
Nahi sabhi loan toh nahi par Pradhan Mantri Mudra yojna mein aapko collateral free services provide karwai jati hai.
Conclusion?
Toh aaj ke article mein maine aapko bataya ki aap log Pradhan Mantri Mudra yojna Loan ke liye kaise apply kar sakte hai aur kis prakar se aap logo ko yaha se loan lene mein yeh scheme helpfull hai.
Aasha karti hu aapko yeh article samajh aaya ho.
Aashish Kummarr