Bandhan Bank Education Loan Apply? | Bandhan Bank Education Loan Apply Kaise Kare 2023?

Hello friends,

So kaise hai aap sabhi log ummid karti hu badiya honge toh aaj ke article mein aap log education loan ke baare mein jaanenge ki yeh kaisa aur kis prakar aapko loan dilwa kar aapke hope ko poora karne mein madad karta hai aur saath hi yeh loan kon kon vyakti le sakta hai aur iske fayde kon konse hai…

Jaise ki aap sabhi ko yeh baat acche se pata hogi ki education har kisi ke liye kitna important hai wo bhi aaj ke time mein kyuki humhari job ya kahe toh dream ispe hi depend karti hai ki hum educated kitne aur padhai complete ki hai ki nahi aur bina educated ke humhare sapne ya humhari iccha anuwasar humhe koi bhi kaam nhi mil sakta jiske liye zaruri hai aapka educated hona.

Bandhan Bank Education Loan kya Hai?

Education loan aapke study ko poora karne ke liye hai taki aapki study poori ho sake aur yeh loan kewal aur kewal education ke liye hii hai jaha se aapko aapni study ke liye loan provide kiya ja raha hai aur aapko yaha bandhan bank se loan lene par saari facilities aur service provide ki jayengi.

Bandhan Bank Education Loan Benefits?

1.Isme aapko repayment ka option accha khasa diya jata hai.

2.jaise ki yeh loan education ke liye hai toh yeh aapko poora protsahan deta hai.

3.yaha aapko jitna bhi loan chahiye apni study ko poora karne ke liye wo aapko yaha se mil jata hai.

4.yeh aapko literate banne mein sahyog karta hai.

5.Yaha aapko jo interest rate milta wo affordable hota hai.

Bandhan Bank Education Loan Amount?

Bandhan Bank Education Loan Amount ki baat kare toh yeh aapko aapki padhai ke liye kitna amount deti hai jisse study ko poora kar sake toh aapko 25 lakh tak ka amount deti hai.

Bandhan Bank Education Loan Interest Rate?

Iske interest rate ki baat kare toh yeh aapko isme 10.45% p.a .to 12.45% p.a. tak ka interest pay karna padta hai bandhan bank ko.

Bandhan Bank Education Loan Tenure Duration?

Aage jaanenge ki jab aap education loan bandhan bank se lete ho toh uske return karne ka samay aapko kitna diya jata hai toh yeh aapko 60 months (5 years) tak time milta hai.

Bandhan Bank Education Loan processing fee?

Bandhan Bank Education ki processing fee jo hai isme aapko no processing fee is charged isme aap pe lgta hai.

Bandhan Bank Education Loan Eligibility?

1.pahle toh aap Indian residency hone chahiye.

2. Aur saath hii existing micro banking customer ho Bandhan Bank ke.

3.Aur aapki age kam se kam 18 years toh honi chahiye.

4. Aur zayada se zayada age 65 years honi chahiye.

5.Students ka secured admission ho higher education course se in recognised institution indian or abroad through entrance tests ke base par.

Bandhan Bank Education Loan Documentation?

Bandhan Bank Education Loan lene ke liye aap par konse documents hone ki need hai…

1.Marksheet of 10 ,12 ki honi chahiye aur saath hi graduation ki agar aapke pass ho toh aur entrance exam result honi chahiye.

2.proof of admission to course:-

Offer letter
Admission letter
Id card

3.Schedule of expenses for course ke documents hone chahiye.

4.Co-applicant and income proof unke proof hone zaruri hai.

5.proof of identity, academic record, course details and cost estimate ke poore documents ho aap pe.

Visit : https://www.bandhanbank.com/business-banking/topup-loans/sushiksha-loan

Bandhan Bank Education Loan kaise Le?/Bandhan Bank Education Loan kaise Apply kare?

Online Method:-

Sabse pahle aapko bandhan bank ke website pe online jana hai.

Uske baad education loan ke option par click karna hai.

Waha aapko loan se related sabhi information aur form fill karne ka option hoga.

Uske baad aapko usse acche se fill karna hai.

Aur details ko acche se fill karke submit ke option par tap karna hai.

Then aapko form fill karne ke baad notification aa jayega.

Tabhi form successful submit mana jayega.

Offline method:-

Pahle toh aapko yaha ke branch mein visit karna hai.

Then waha sabhi prakar ke processer karae jayenge.

Waha pe aapko application form bharna hoga aur sabhi details ko acche se fill karna hai.

Aur form fill karne ke baad aapko document jo ki zarurat padegi wo bhi aapko bank mein submit karna hai.

Jiise wo aapki identity proof saath mein rakh sake.

Isme kuch eligibility criteria hai jisko aapko poora karna hota hai.

Sabhi process hone ke baad bandhan bank education loan ke liye verify kar deta hai.

Iske baad aap ko loan diya jata hai.

Bandhan Bank Customer Support?

1800258181

Conclusion?

Toh isme aap logo ne jaana ki aap kaise education loan lene ke liye bandhan bank se apply kar sakte hai aur aap logo ke paas kon konse documents hone chahiye jisse loan ke apply kiya ja sake.

Ummid karti hoon aapko yeh article samajh aaya hoga.

Aashish Kummarr

About Aashish Kummarr

Check Also

Canara Bank Current Account Opening? | Canara Bank Current Account Open Kaise Kare?

Namaskar sathiyao, Kaise hai aap sabhi log ummid karti hoon badiya honge toh aaj ke …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x