Namaskar sathiyao,
Toh kaise hai aap sabhi log ummid karti hu behartein aur swaasth honge toh aaj mai aapko current account opening ke baare mein batane wali hu ki aap log kaise current account apna open karwa sakte hai jiske liye aapko kon konse documents ki need padegi toh maine aapko ye sabhi ke baare main bataungi aur current account kon log open karwa sakte hai uske baare mein janenge…
Jaise ki business aaj ke time mein important hota ja raha hai waise hii aane wale time mein bhi important rahega aur log issi field mein isliye jate ya iss field ko zyada prefer isliye karte hai kyuki vyakti yaha earning acchi rahegi aur saath hii wo apne hisab se kaam kar sakega jisse usko job jane ka koi darr nahi hoga aur apne poore expenses ko acche se maintain kar payenge aur future mein aapko koi pareshani nahi hogi jiske liye aap log apna current account open karwa sakte hai kewal business karne ke liye taki wo transaction ko acche se manage kar sake..
Punjab National Bank Current Account kya Hai?
Table of Contents
Upper humhe business ke baare me pata chala toh aap logo ko Punjab National Bank ke dwara apna current account open karwa sakte hai aur yeh kewal ke liye account hota hai aur ussi ke liye hii kaam karta hai isme wahi log account open karwa sakte hai jinko business karna hai.
Punjab National Bank Current Account Opening ke Benefits?
1. Pahle toh yeh hai ki isme internet banking facility hoti hai.
2.Isme aap limited transaction ke badle unlimited transaction kar sakte hai.
3.jaise ki current account kewal business man hii open karwate hai toh wo log other countries ke saath export, import bhi kar sakte hai.
4.Baki account open karwane par aapko zayada features nhi provide karwai jati hai lekin current account mein aapko zyada features provide karwai jati hai.
5.Isme aapko ek balance management karna padta hai par koi exact number current account ke case mein nahi hota hai kyuki yeh aapke business model or expansion par karta hai.
Punjab National Bank Current Account Opening Eligibility?
Isme eligibility kuch iss prakar hai…
1.yeh account individual bhi open karwa sakte hai aur joint person ke association mein bhi.
2.Aur important ki aap Bharat ke niwasi hone chahiye.
3.Aapki age 21+ toh honi chahiye agar current account open karwana hai toh.
4.Sole prosperity concern hone chahiye.
5.Isi ke saath aapke pass business pan card ho.
6.Aur aapke pass ekyc documents hona zaruri hai.
Punjab National Bank Current Account Opening Documentation?
eKYC documents:-
Aadhar card
Pan card
Voter ID card
Driving licence
Aur aapke pass address proof hona chahiye residence ka.
Aur aapke pass business se related uske sabhi documents ho.
Company aur business ka aapke pass broad resolution hona chahiye.
Company aur business ka MOA ,AOA certificate ho.
Aur saath hi aapke pass business pan card hona chahiye.
Business validation form ya application ho wo aapko documents mein attached kar dena hai.
Aapke pass 2 passport size photograph honi chahiye.
Punjab National Bank Current Account Open kaise kare In Offline Mode?
Pahle toh aapko Punjab National Bank ke nearest branch mein visit karna hai.
Fir aapko current account open karwane ke liye unse baat karni hai
Then wo aapko form denge current account open karwane ke liye.
Uske aapko poore details ko acche se fill karna hai.
Aur uske baad aapko jo documents bole hai attached karne ko wo aapko form ke saath attached kar dena hai.
Fir form pe sign karna mandatory hai.
Then aapka form successful submit ho jayega.
Visit : https://www.pnbindia.in/current.html
Punjab National Bank Current Account Open kaise kare In Online Mode?
Pahle toh aapka existing account hona chahiye isme.
Fir aapko iske official website par jana hai.
Agar aapka pahle se isme account hai toh simply login kar sakte hai .
Warna aapko search karna padega uske baad aapko iska section milega uspe tap karna hai.
Then aapko saari information di jayegi fir aapko niche scroll karenge.
Toh aapko ek download form ka option milega.
Then aapko form ko fill karna hai aur apni details jo maangi hai wo deni hai.
Fir aapka form successful submit mana jayega.
Punjab National Bank Current Account Opening GST Needed?
Isme aap logo ko current account open karwane ke liye GST ki need hoti hai ki nhi toh isme aapko business par GST applicable hai toh de sakte hai warna otherwise uski koi zarurat nahi hai.
Punjab National Bank Current Account Minimum Balance Management?
Jab bhi aap apna current account open karwate hai toh aapko tin grades milti hai uske according hii aapko apne money ko manage karna padega Punjab National Bank Current Account mein.
Punjab National Bank Current Account Opening Charges & fees?
Toh baat karte hai ki agar aap current account open karwate hai toh uss par koi ya kisi bhi prakar ka koi charges pay karna padta hai yaa nahi toh mein aapko bata doo ki aapko koi bhi charge nhi dena padta lekin aap jaise ki extra facilities mein cheque ,DD etc lene par aapko fee pay karni padegi.
Punjab National Bank Current Account passbook provide karwata Hai?
Jaise aap logo ko jab saving account open karwate hai toh aapko passbook provide kiya jata hai same isme bhi aapko yaani current account open karwane ke baad aapko passbook provide karwaya jata hai.
Punjab National Bank Current Account ATM Card Milta Hai?
Jaise ki aap koi bhi account open karwate hai toh aapko ATM card milta hai isme bhi same aapko ATM card milta hai hai paiso ke transaction ke liye.
Punjab National Bank Saving Account ko Current Account Mein Convert kar Sakta Hai?
Nahi hum saving account ko current account mein convert nahi karwa sakte as per the rule of (RBI).
Conclusion?
Toh aapko pata chala hogi ki aap log Punjab National Bank mein kaise current account open karwa sakte hai aur uske liye aapko kaise open karwana hai mein iss article ke madhyam se bataya hai.
Ummid karti hu aapko yeh article samajh aaya hoga.
Aashish Kummarr