Bank Of Baroda Pradhan Mantri Mudra Yojana Loan Kaise Le? | BOB Mudra Loan Kaise Le? | BOB Mudra Loan Apply Online?

Hello friends,

Toh aap sabhi log kaise hai i hope thik honge toh aaj ke article mein aap logo ko pmmy kya hai wo kis tarike se aap logo ko apni schmes ke dwara loan dilwa sakti hai aur yeh schmes jo ki government ki toh isme aap logo ko baki banko ki tarah hii poori facilities provide ki jati hai jo ki government ki scheme hai toh isme aapko fayde kuch zayada milte hai aage hum aur samjhenge…

Jaise jaise samay badal Raha hai waise waise log ke ideas aur kaam karne ke tarike mein bhi change aa raha hai aab vyakti sirf ek job karke apne kharcho ko nhi utha jiske liye vyakti chahta hai ki wo koi koi business shuru kar sake jisse yeh sabhi chijo handle kar paye vyakti business se apne expenses ko manage easily kr sakta hai aur baki chijo ko bhi jiske liye aap logo ko loan bank of baroda pmmy ke help se madad mil sakti hai.

Bank of Baroda Pradhan Mantri Mudra yojna kya Hai?

Waise toh aapko har bank jo ki apni services and facilities provide karwati hai lekin bank of baroda Pradhan Mantri Mudra yojna ek esi schmes hai jo government ne laayi hai jiske aapko Kai saare fayde milte hai.

Bank of Baroda Pradhan Mantri Mudra yojna ke kya Benefits Hai?

1.No collateral required yaha loan lene par collateral free services di jati hai.

2.There is no minimum loan amount.

3.yaha se koi bhi vyakti loan le sakta hai aur iska laabh utha sakta hai.

4.Iss loan ko return karne ka samay bhi kaafi accha khasa diya jata hai.

5.Isme aapko koi bhi business chhota ya bada shuru karna ho toh aap easily loan lekar shuru kar sakte hai.

Bank of Baroda Pradhan Mantri Mudra yojna se kitne Amount Tak ka Amount paa sakte Hai?

Toh baat kare bank of baroda Pradhan Mantri Mudra yojna ke yeh bank government ki scheme ke tehat aapko kitna amount deti ye aapko 10 lakh tak ka amount deti hai.

Bank of Baroda Pradhan Mantri Mudra yojna ka Interest Kitna pay karna padta Hai?

Isme aapko mein bata doo ki jab aap bank of baroda se business karne ke loan lete hai toh uska byaj aapko kitna pay karna padta hai toh 9%-12% tak dena padta hai.

Bank of Baroda Pradhan Mantri Mudra yojna Tenure Timing?

Ab baat karte hai bank of baroda aapko loan wapis karne ka waqt kitna deta hai jiske time ke anusar aap loan ko return kar paye yeh aapko 7 years tak ka time deta hai.

Visit : https://www.bankofbaroda.in/personal-banking/loans/pradhan-mantri-mudra-yojana

Bank of Baroda Pradhan Mantri Mudra yojna Eligibility?

1.Pahle toh aap Jo hai business enterprise se jude hue ho.

2.Aap pe kisi bhi prakar ka criminal record na ho bank of baroda se loan lene ke liye.

3.Aap Bharat ke niwasi hone chahiye.

4.Isme aapki age 18+ honi chahiye aur zayada se zayada age 65 years honi chahiye.

5.Isme aapka financial status kaafi strong hona chahiye.

Bank of Baroda Pradhan Mantri Mudra yojna Documentation?

Bank of Baroda Pradhan Mantri Mudra yojna ke liye aapke pass kon konse documents hone chahiye…

eKYC documents:-

Aadhar card, pan card, voter id card, driving license, passport yeh loan lene ke liye aapke documents ko poora karne mein help karega.

Residence documents:-

Eligibility bill, telephone bill, water bill, property tax report yeh sabhi aapke documents ko poora karenge jiski loan lene mein need hoti hai.

Aur saath hi aapke pass business pan card hona mandatory hai.

Aur income proof last 2 year yeh bhi hona zaruri hai.

Bank statement of minimum 6 months old jo ki sabhi loan lene ke liye jaruri hota hai aur pmmy ke liye bhi.

Aur aapko loan lene ke liye aapke pass business se related jitne bhi documents hai uski need hoti hai.

Aur saath hi 2 passport size photograph aur authentic signature hone chahiye.

Bank of Baroda Pradhan Mantri Mudra yojna Contact Helpline Number?

Customer.support@jansamarth.in

Jansamarth : https://www.jansamarth.in/home

Bank of Baroda Pradhan Mantri Mudra yojna Online method:-

SHISHU YOJNA

Isme aapko bank of baroda ke official website par jana hai.

Then iske branch par hii jakr online shishu yojna ke application form ko download karna hai.

Then basic information ko fill karni hai aur personal aur professional details.

Uske baad aapko apne profile add krni with signature ke saath.

Then submit par click karna hai.

TARUN YOJNA & KISHOR YOJNA

Isme bhi same wahi process hai jo ki aapko bank of baroda ke official website par jana hai.

Aur tarun,kishor yojna ke option par click karna hai.

Then next step aapko form ko download karna hai.

Aur form ko fill karna hai aur apni details acche se fill karna hai.

Then site par jakar submit kar dena hai.

Kya bank of baroda ke alawa sabhi banks Pradhan Mantri Mudra yojna provide karwate hai?

Yes, zayada tar bank jo hai aapko Pradhan mantri Mudra yojna Loan ko provide karwate hai.

Kya sabhi loan collateral free loans mein aate hai yaa nahi?

Nahi sabhi loan toh nhi lekin Pradhan Mantri Mudra yojna mein aapko collateral free services mil jati hai.

Conclusion?

Toh aaj maine aapko bataya ki pmmy jisse aap business ke liye loan easily le sakte hai jiske poore process ko humne iss article ke madhyam se jana aur samjha jo ki loan lene ke liye aapki madad bank of baroda karega.

Ummid karti hu yeh article aapko pasand aaya ho.

Aashish Kummarr

About Aashish Kummarr

Check Also

HDFC Bank Mudra Loan Kaise Le? | HDFC Bank PMMY Loan Apply Online? | HDFC Bank e-Mudra Loan?

Hello friends, So,kaise ho aap sabhi log ummid karti hoon acche bhale honge toh aaj …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x