State Bank Of India PMMY Loan? | SBI Pradhan Mantri Mudra Yojana Loan Kaise Le? | SBI Loan Kaise Le?

Hello guys,

Toh kaise hai aap sabhi log,i hope so behartein honge toh dosto aaj ke article mein hum baat karne ja rahe hai pradhan mantri Mudra yojna ke baare me ki wo aapke liye kis tarike se kaam karti hai aur uske kya fayde hai toh basically aapko mein yeh bata doo ki yeh government ki scheme hai jaha se business karne ke liye loan apply kar sakte hai

Waise aap sabhi ko yeh baat acche se pata hogi ki aaj ke date mein earning karna kitna mushkil hai aur kaash tor par job base par jo vyakti job kar raha hai unko kaafi pareshani ka samna karna padta hai aur toh log apni expansive ko bhi acche se handle kar pate mein unko sabhi chijo ko dekhkar koi dusara field me jane ka mann hota hai jaise koi chota ya bada business shuru kyu na kare uske aapko state bank of india jo hai aapko Pradhan Mantri Mudra yojna schmes dwara aapko loan provide kiya jata hai.

State Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna kya Hai?

Jaise ki yeh pata chal gaya hoga ki Pradhan Mantri Mudra yojna government ki scheme mein se ek jisme aapko kisi bhi tarah ka business karna ho chota ya bada wo state bank se loan lekar business shuru kar sakta hai.

State Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna ke kya Benefits Hai?

1.Yaha aapko aapke hisab se suitable interest rate mil jata hai.

2. Dusara yeh ki yaha se koi bhi vyakti middle class bhi loan le sakte hai.

3.yaha aapko business karne ke liye loan easily mil jata hai.

4.Aur loan lene ke liye aapko koi bhi security deposit nahi rakha padta.

5.Yaha aapko aapke business ke hisab se amount sahi aur zayada mil jata hai.

State Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna se kitne Amount Tak ka Amount paa sakte Hai?

Toh mai aapko bata doo ki state of India aapko kitna amount dilwane mein madad karti hai toh 10 lakh tak ka amount aapko dilwati hai.

State Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna ka Interest Kitna pay karna padta Hai?

Aage hum state bank of india Pradhan Mantri Mudra yojna ke interest ki baat kare toh yeh aapko 8.4 se lekar 12.35% tak ka interest rate hai jo ki har saal ke hisab se hai .

State Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna Tenure Timing?

Baat kare state bank of india ki jo ki aapko loan return karne ka samay jo deta hai jiske bich aapko loan ko return karna hota hai toh yeh hai
12 months se lekar 60 month Tak ka duration time.

State Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna Eligibility?

1.SBI ka current account ya saving account hona chahiye wo bhi kam se kam 6 month old.

2.Aur vyakti manufacturing ya service sector mein kaam karta ho.

3.Aur saath hi wo uss jagah par kam se kam 2 saal se reh raha ho.

4.Saath hi aap kisi na kisi business entity se jude hue ho.

5.India ki citizenship honi chahiye.

State Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna
Documentation?

1.Aapke pass passport size photo ke saath application form ho.

2.Kyc documents jaise ki passport, voter id card, aadhar card, pan card, driving license etc.

3.business pan card (Name,kab shuru Kiya gaya,uski date aur address.

4.comunity details General,SC,ST,OBC ke proof ho.

5.Saving, current account number aur branch ki information ho.

6.Bussiness registration ka proof hona chahiye.

State Bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna
Contact Helpline Number?

1800-180-111 or 1800-11-0001

Visit : https://sbi.co.in/web/business/sme/sme-government-schemes/pmmy

State Bank of India Pradhan Mantri Mudra Yojna Loan kaise Apply kare…

Sabse pahle aapko SBI portal par jana hai fir proceed par tap kare www.emudra.sbi.co.in par

Uske baad aapko sabhi ko aache se padh kr ok ka button par click karna hai.

Fir aap new page par aa jayenge apna mobile number daalna hai fir loan ke liye amount waali information bhar ke fir proceed ke button par click karna hai.

Ab form ko fill karke important documents ko attach kare.

Fir loan processing ho jayega.

SHISHU YOJNA

Yeh ese vyakti ko diya jata hai jinhone abhi business shuru Kiya hai.

Iska amount jo hai wo hai 10,000-50,000 tak ka loan le sakte hai.

Iske liye processing fee ki zarurat nahi nahi hai.

Iss loan ko 6 -12 mein wapas kar sakte hai.

TARUN YOJNA & KISHOR YOJNA

Iska bhi same process hai lekin amount alag hai jaise ki tarun mein 5 lakh se 10 lakh tak ka liya ja sakta hai

Aur kishor mein 50,000-5,00,000 itna jisse 12 month se lekar 36 month tak return karna padega.

Isme bhi koi processing fee nahi hai lekin 10% marjin amount deni hogi.

Kya State Bank of India ke alawa sabhi banks Pradhan Mantri Mudra yojna Loan provide karwate hai?

Toh iska jawab hai hann zyada tar bank aapko loan matalab ki Pradhan Mantri Mudra yojna Loan ko provide karwate hai.

Kya sabhi loan collateral free loans mein aate hai yaa nahi?

Nahi par Pradhan Mantri Mudra yojna mein aapko collateral free services mil jati hai.

Conclusion?

Toh dosto aaj ke article mein humne samjha ki aap kis prakar state bank of India Pradhan Mantri Mudra yojna se loan le sakte hai aur jiske liye iske baare process ko humne samjha hai aur iske kya kya fayde hai usko humne dekha.

Ummid karti hoon aapko yeh article pasand aaya ho.

Aashish Kummarr

About Aashish Kummarr

Check Also

HDFC Bank Mudra Loan Kaise Le? | HDFC Bank PMMY Loan Apply Online? | HDFC Bank e-Mudra Loan?

Hello friends, So,kaise ho aap sabhi log ummid karti hoon acche bhale honge toh aaj …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x