Paytm Se Loan Kaise Le | How To Get Loan From Paytm – Paytm Personal Loan Kaise Le

To dosto jaisa ki aap sabhi log jaante hai ki aaj ke time par paise ki kya value hai or paise kamane ke liye aap or mai kitni mehnat bhi karte hai lekin aaj ki iss bhagdaur wali zindgi mein insaan bhale kitna hi kaam kar le lekin wo apni uss kamai mein na to apni zaroorato ko poora kar paata hai aur na hi kucch save kar paata hai ese mein logo ke paas ek option yah rah jaata hai ki wo loan le le lekin sawal yah nahi hai ki loan kaise le, ya loan kaise liya jaata hai uska process kya hai nahi sabse zaroori baat ki loan kaha se liya jaae..

To aaj hum aapko batane wale hai  ki aap log paytm se kaise loan le sakte ho (how to get loan from paytm) to iss poore blog mein hum baat karne wale hai ki paytm jo aaj ke time par sabse zyada use ki jaane wali amount transaction application hai usse aaplog paytm loan ke liye kaise apply kar sakte ho saath hi yab bhi aap log jaan paaoge ki kitne amount tak ka loan aap paytm se le paaoge jaise paytm loan 2500 rupay tak ka ya paytm loan 3000 tak ka paytm loan 5000 tak ka paytm loan 10000 tak ya paytm loan 25000 tak ya kahi isse bhi zyada to iske liye aapko pahle pata hona chahiye ki paytm kya hai or iske baad hum dekhenge ki iss kamal ki application se aap loan kaise le sakte hai..

Read Also :- CashInYou Loan App Se Loan Kaise Le | CashInYou Loan App Se Loan Kaise Apply Kare | CashInYou Loan App Se Personal Loan Kaise Le | CashInYou Loan App Se Personal Loan Kaise Apply Kare

Paytm Kya Hai?

(What Is Paytm)

Dosto paytm ek bharat ki no.1 payment application hai jiske 45 crore se bhi zyada user hai aur isske user daily basis par badh hi rahe hai

Paytm se aap log paiso ki lenden matra ek click mein kar sakte hai chahe fir aap wo apne bank account mein karna chahte ho ya fir kisi or ke bank ac  mein bhejne ke liye paytm ka bhim upi method use karke instant one click mein paise transfer kar sakte ho

Iska use aap instant offline ya online transaction ke liye kar sakte ho jaise:- flipkart, amazon, shopclues, snapdeal, zomato, swiggy, dominos, mobile recharge, dishtv recharge, electricity bill payment, gas payment as well as flight tickets, train or metro tickets etc…

Paytm Se Kitna Loan Mil Sakta Hai?

 (How Much Get Loan From Paytm)

Dosto agar aap logo ne kabhi bank wagerah mein loan le liye kabhi apply kiya hai to aapko pata hi hoga ki aapko waha se kitna loan mil sakta hai khair agar aapko pata hai to acchi baat or agar nahi pata hai to koi baat nahi mai aapko bata dena chahta hoon ki aap paytm se poore 2 lakh rupay tak ka loan le sakte hai ( get 2 lakh rupees loan from paytm) jii haa poore 2 lakh rupay tak ka aap paytm se loan prapt kar sakte hai.

Paytm Se Loan Par Kitna Byaz (Intrest) Lagta Hai?

(How Much Intetrest Rate Of Paytm For Getting Loan)

Dosto agar aap logo ne kabhi kisi ko kahi se loan lete dekha hoga to yah baat aap logo ko acche se clear ho chuki hogi ki bank se loan lene par kitna byaj lagta hai , ya kitna percent interest lagta hai aur agar aap baat karte ho bank se loan kaise lene ki to aapko to waha par bahut high interest pay karne ki to aapko to waha par bahut zyada amount pay karna padega lekin agar hum baat karte hai ki paytm se loan lene par kitna interest dena padta hai to aap sabhi logo ko bata doon ki paytm se loan lene par aapko interest rate padta hai minimum 0.09% se lekar maximum 13% tak ka bass.

Paytm Se Loan Kon Kon Le Sakte Hai?

(Who Will Take Loan From Paytm)

·     Sabse pahle aap bharat ke nagrik hone chahiye

·     Aapke paas aapka identity card hona chahiye jaise aadhar card or pan card

·     Or aapke paas aapka ek open saving account ya current account hona chahiye

Paytm Se Loan Aapko Kitne Samay Ke Liye Milega?

(How Much Time To Get Loan From Paytm)

Agar aap sabhi kisi se paise udhaar par lete hai to aapko pata hi hoga ki jo dendaar hota hai wo aapko paise ek limited samay tak ke liye deta hai or ek deadline set karke deta hai aur utne time tak ka aapka interest rate chal raha hota hai usi tarah paytm se loan lete hai aap jab to iski bhi ek minimum to maximum time tak ki ek deadline hoti hai agar baat kare ki paytm ki deadline ki to yah aapko paytm loan 4 mahine se lekar ke maximum 36 mahine tak ke liye de sakti hai

For Example :-

Maan ke chaliye dosto ki agar aapne paytm se loan liya or hum maan lete hai ki aapne paytm se 1000 rupees tak ka loan liya tha jiski deadline 91 days thi yani aapko paytm se liya gya loan aapko 1000 rupay 91 din mein waapis karna hai to aapka total paytm interest rate jodkar jo  aapko payable amount hoga wo hoga 1236 rupay.

Paytm Se Loan Lene Ke Faayde Kya Hai?

(Benefits Of Paytm Loan)

·     Paytm se loan lene ke pahla faayda yah hota hai ki yaha se aapko zyada amount rak ki raashi mil sakti hai as a loan baaki bank ke mukable

·     Paytm se loan aap jitna bhi le aapke amount ke anusar aapka interest rate bahut kam hoga

·     Paytm se loan lene ka ek benefit yah hai ki aapko loan dene ki deadline zyada mil jaati hai jisse aap apni loan ki raashi ko aram se de sake

·     Paytm se loan lene ka ek benefit or hai ki yaha par processing fee bahut kam hoti hai

·     Paytm se loan lene ka ek or benefit yah hai ki yaha advance amount pay nahi karna padta hai paytm se loan lene se pahle

  

Paytm Se Personal Loan Kaise Le? /

Paytm Se Loan Apply Kaise Kare?

(How To Apply Loan From Paytm)

·     Pahle aapko google play store par jaakar serch karna hoga paytm

·     Jaise hi aapko paytm application dikhe aapko ise download karke install kar lena hai apne smartphone mein

·     Uske baad application ko open kijiye

·     Open karne ke baad aapko sign up karna hoga uske liye aapko apna mobile no.daalna hoga

·     Mobile no.daalne ke baad aapke paas ek otp aayega use fillup karke aapko successfully sign in kar lena hai paytm application mein

·     Fir aapko paytm ke search mein jaakar paytm loan search karn hai fir aapko paytm loan wale option par click karna hai

·     Aapko waha par paytm ke kahi sare loan option millenge jaise paytm business loan or paytm personal loan, paytm students loan, paytm loan process or paytm loan review or kayi sare loan options milenge aapko simple karna h personal loan wale option par click

·     Paytm personal loan wale option par click karne ke baad aapko apna jitna loan lena hai aapko paytm personal loan wale option par apna paytm loan amount number daalke apply kar dena hai

·     Ese aapka paytm se loan apply ho chukka hai aur aapka poora formality ka paytm loan process check karne ke baad aapko paytm ki taraf se kucch dino mein call aayega or iske baad document verification ke baad

·     Aapka loan approved hote hi paise aapke account mein aa jaayenge

Paytm Se Hi Loan Kyun Le?

(Why Take Loan From Paytm)

·     Paytm se loan isliye le kyonki paytm aapke credit score ko badhane mein help karti hai

·     Paytm aap sabhi ko loan zyada samay ke liye uplabdh karwati hai jisko hum deadline bhi kahte hai

·     Paytm se loan lene ka sabse bada kaaran yah hai ki jaha par baki sabhi banks aapko loan ke naam documents ko lekar bahut bhagdaud karwati hai wahi paytm bahut kam documents mein approval de deta hai

·     Paytm ka interest rate bahut kam hota hai jisse aapko loan ke byaj ke bare mein zyada chinta nahi  satati

·     Paytm se whole of the india koi bhi loan le sakta hai jisse har ek nagrik tak paytm ki suvidha pahunch sake

·     Paytm se liya gya loan sidha aapke bank account mein instantly aata

·     Paytm poorn roop se online hai to aap ko kahi bhi jaane ki koi zaroorat nahi hai saara kaam aapka online baithe ghar par hoga

·     Paytm aapko loan dete waqt aapse kisi bhi prakar ka koi civil score ya fir credit history nahi poochta

Paytm Se Liye Gaye Loan Ka Use Kaha Kare?

(Where We Will Use Paytm Loan)

Waise yah batane ki koi zaroorat nahi hai lekin hum aapko batate hai ki iska use aap kar sakte hai

·     Kisi vyakti se liye gaye udhaar ko dene ke liye

·     Agar aapki family hai to baccho ki fees wagerah or kisi tarah ki bhi esa bill pay kar sakte ho jo ki kaafi time se due tha

·     Aap paytm loan ka use nayi gaadi wagerah ya emi par bike wagerah lene ke kar sakte ho

·     Agar aapke ghar mein kisi ki tabiyat kharab chal rahi hai to uske ilaaz mein aap iss loan ko laga sakte ho

·     Agar aapke ghar mein beti hai to uski shaadi wagerah karwane mein aap iss paise ko laga sakte ho

·     Aap chahe to aap iss loan se apni happy life jeene ke liye tour, tourism ya holiday ke liye kharch kar sakte ho

Hamne Aaj Kya Sikha?

(Learning)

To dosto hamne aaj sikha ki aap kis tarike se paytm se loan le sakte hai or paytm se loan kaise le sakte hai  (how to get loan from paytm) poori jaankari maine aapko de dii iske alawa hamne isme paytm se laon approve kaise kare iska poora process jaana saath hi paytm interest rate kya hai yah bhi sikha aur paytm se loan apply kaise kare wale section mein hamne deeply samjha ki paytm personal loan kaise le sakte hai..

Baaki sabhi chijo ke bare mein hamne baat ki agar post pasand aayi hai to comment kare koi swal ya koi prblm aa rahi hai to bhi comment kare iss post ko apne dosto tak zaroor share kare

Or next paytm se related ek or post aayegi jaha par hum yah baat karenge ki paytm se hi paytm payments bank se aap kaise loan le sakte hai poora process janenge saath hi paytm business se kaise loan le iske upar bhi baat karenge

Dhanyavad aapka itna samay dene ke liye………

About AashishKummarr

Check Also

Canara Bank Education Loan Apply Kaise Kare? | Canara Bank Education Loan 2023

Namaskar sathiyao, Kaise hai aap sabhi log ummid karti hu badiya honge toh aaj ke …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x