PhonePe Loan Kaise Le | PhonePe Loan Apply Kaise Kare | How To Get Loan From PhonePe – PhonePe Loan Kaise Milta Hai

 Dosto jaisa ki aap jaante hai ki aaj ke time par logo ki zindgi ki ek hi chhij par chal rahi hai wo hai paisa aur jiska paas yah hai wo raja aur jiske paas nahi hai wo rank aur kucch logo ka kahna hota hai ki paisa kucch nahi hota lekin aaj ki iss dunia mein paisa bahut kucch iss paise ko kamane ke liye log bade se bade kaam aur chhote se chhote kaam karta hai taaki wo ise earn kar sake..

Lekin middle class family mein ek baat yah hoti hai ki aap jitna bhi kama lo lekin family ke expenses ke saamne aapki salary kucch maayne nahi rakhti aur iske liye aapko needs hoti hai aapko loan ki lekin aaj ke time par loan dene ki service hai to bahut sari lekin wo saare services ek ek karke khatam tab ho jaati hai jab kisi mein interest rate zyada hota hai kisi mein deadline bahut kam hoti hai kisi mein documents ke chakkar mein time bahut zyada lag jaata hain or ese ese kayi reason aane ke baad loan ke saare darwaze band ho jaate hai but ese mein aaj ke time par digital generation ke aane online revolution aane ki wajah se aaj ke time par online transaction ke raaste khule jisse logo ko amount transaction karne mein bahut sahayta mili khastaur par saal 2016 mein demonetization ke time par aur abhi recently saal 2020 aur saal 2021 mein lockdown  ke time par to ese mein transaction karne ki suvidha badhi rahi hai or logo ke jivan ke hisso mein se online transaction ek important role ada karti hai..

Lekin ese mein hum  agar baat karte hai online loan ki jaise hum transaction yani ki lenden online kar sakte hai poora bank ka process hi kaam karta hai online transaction mein to ese mein to hum loan ki suvidha ka bhi upyog kar sakte hai to isska jawab hai jii haa aap loan ki suvidha ka istemaal kar sakte hai or yah bhi aapko loan facilities mein se ek hi hogi lekin chaliye ye to clear ho gya ki loan ki suvidha ka istemal ke liye online transaction application ko use mein le sakte hai par ab baat aati hai esi konsi transaction application ko use kare jo loan hume provide karwa de online ese mein hamare paas bahut options hai lekin aaj hum jis application ke bare mein baat karne wale hai uska naam phone pe sabhi logo ne takriban ise use kiya hua hai aur aaj kal to iska upyog daily badh hi rha hai..!

To iss blog mein hum baat karenge ki phone pe application se aap log loan kaise le sakte hai or phonepe se loan kaise le (how to get loan from phonepe) iske alawa phone pe app se loan kaise lene ki poori process kya hai or phone pe se loan ke liye ke kis kis documents ko hume submit karna hoga kitne time ke liye phonepe loan deta hai kitne percent interest par deta hai loan lotane ki deadline kab tak ki hai baaaki saari baatein aaj hum apni iss post mein karne wale hai to chali jaante hai..

Read Also :- CashInYou Loan App Se Loan Kaise Le | CashInYou Loan App Se Loan Kaise Apply Kare | CashInYou Loan App Se Personal Loan Kaise Le | CashInYou Loan App Se Personal Loan Kaise Apply Kare

PhonePe Kya Hai?

So guys phonepe ek online transaction application hai jisse aap log paise ki lenden kar sakte hai iss paise ki lenden ka poora process apke bank account se link hota hai or aapke bank ac ke through aap log phone pe application se transaction kar sakte hai total bharat ki top 10 online transaction application mein se phone pe application ek hai or iss application ka powered by yes bank ki taraf se hai..

PhonePe Loan Kaise Milta Hai?

So guyz aapke mann mein ek sawal aata hoga ki phone pe ke paas to paytm ki tarah khud ka officla payment bank to hai nahi aur naa hi kisi financial bank ka yah co-sponsered hai to hume phone pe loan dega kaise yah sawal aap ek dam sahi soch rahe hai aur iska jawab bhi bada simple aur sidha hai ki jii haa aapko phone pe directly loan provide nahi karwata hai lekin phone pe aapko apni taraf se loan zaroor deta hai aur wo kaise deta hai

PhonePe Loan Kaise Deta Hai?

So dosto phone pe apni taraf se aapko loan provide to nahi karwata lekin yah phonepe application ne flipkart ke saath partnership kar rakhi hai jiski madad se aapko loan milta hai jise aapko phone pe loan bhi kah sakte hai lekin ab aap mlog soch rahe honge ki agar mujhe loan flipkart se hi lena hai to mai sidha flipkart  par bhi to jaakar le sakta hoon phone pe se hi loan kyun loo to iska jawab hai ki flipkart ki loan facility ka poora connection phone pe application se hi juda hua hai to agar aapko loan chahiye to aapko phone pe application ko use to karna hi padega..!!

PhonePe Se Kitna Loan Milta Hai?

So dosto agar hum baat kare ki kitna loan milta hai to yah baat to aap log bhi jaante hai ki kisi bhi bank ke paas ek limit mein hi kisi bhi customer ko loan dene ki approval hoti hai aur usme se bhi do type ke loan hamare samne aate hai ek to hota hai instant loan jo ki aapko turant apply karte hi mil jaaega jaise ki phone pe se instant loan kitna milta hai aur ek hota hai jo aapko thoda sa bada  amount chahhiye hota hai lekin wo amount aapko instantly nahi milta uss amount ko aane mein thoda time lagta hai

To agar hum baat karte hai ki phonepe se instant loan kitna milta hai uski to iss instant loan amount ki value 10000 rupay se shuru hoti hai or maximum 50000 rupay par jaakar rookti hai iss bich mein aapko loan amount milta hai mtlb ki phonepe se instantky loan itna milt hai

PhonePe Loan Interest Rate Kitna Hota Hai?

To bhaiyo jaisa ki aapko pata hai ki aap agar kisi bhi bank se loan lete ho to aapko uss bank se liye hue amount ka interest bhi pay karna hota hai jise hum aam bhasha mein byaz kahte hai to jaise sabhi banks ka apna apna ek fix amount hota hai ki aapko itne itne amount par itna itna interest lagega itne time ke liye to waise hi phone pe ka bhi hai matlab ki phonepe aapko loan deti hai jab to iska bhi ek interest rate amount hota hai jo aapko loan ke dwara dii jaane wali raashi par lagta hai lekin ghabrane wale koi baat nahi hai phone pe interest rate kaafi kam hota hai baaki banks ke mukable agar mai aapko number ke form mein smajhane ki koshish karoo to phone pe interest rate ka do hisab kitab hai pahla to yah ki aapse shuruaati mahino tak koi phone pe interest rate nahi leta hai lekin isska ek deadline hota hai wo 45 din ka hota hai 45 din ke baad aap par normal charges judna shuru hote hai aur wo bhi aapko notified karke..!!

PhonePe Loan Kitne Dino Ke Liye Milta Hai?

So dosto jaisa ki maine aapko upar ke heading mein yani ki phonepe interest rate mein maine aapko bataya kis tarah phonepe aapko shuruaati smay mein loan 45 dino ke liye free deta hai free it means ki koi charge ya koi phone pe interest rate nahi judta usi  prakar phone pe se liya gaya dhan chukane hetu aapko deadline bhi zyada samay tak ka mil jaata hai jisse aap log apna loan bade hi pyar se chukka sakte hai aur isko bhi agar hum log number ke form mein samajhne ki koshish kare to phone pe loan aapko milne ke baad apko wo loan ki raashi 2 mahine se lekar 6 mahine ki bich ke samay mein aap kabhi bhi chukka sakte hai..!!

PhonePe Personal  Loan Enquiry?

Dosto iss baat ke liye aap log ek dam tension mukt rahiye kyonki phone pe baaki banks ki tarah aapko loan dene se pahle das sawal nahi poochhta ki aap iss loan ka kya karoge aapko yah loan kyon chahiye aap iss loan ka amount kab tak pay karoge ese sawal aapko pooche bilkul bhi nahi jaayenge kyonki phone pe service ke according kisi bhi customer ko loan dete waqt phone pe bass documentation and formality question ke waqt hi sawal karta hai aur agar uss sawal ka jawab aapne waha diya to uske baad apki formality question khatam ho jaate hai jisme aapke identity card ko lekar verification kiya jata hai

Fir bhale chahe aap personal loan lijiye phone pe se ya business loan wo aapse utni poochhtach nahi karte..!

PhonePe Business Loan Deta Hai?

To bhayiyo agar aapke bhi mann mein bhi yahi sawal aa raha hai ki kya phone pe application aapko paytm ki tarah phonepe personal loan le saath saath phone pe instant loan ke saath saath aapko phonepe business loan bhi provide karawaega to isska jawab hai sidha nahi..!!

Lekin nirasha ki koi baat nahi hai phonepe business loan ke hisab se aapko business ke liye koi bada amount to nahi mil sakta hai phone pe se lekin jo aap phonepe personal loan lenge uss loan ko aap as a phonepe business loan ke roop mein use kar sakte hai atleast thoda to help mil hi jaaega uss amount se..!!

PhonePe Loan Hi Kyun Lena Chahiye?

So dosto hamne itni baate to kar li phonepe se judi hui lekin aap log yah bhi kabse soch rahe honge ki aakhir phonepe hi kyun phonepe ke alawa baaki saari online services bhi se to loan liya jaa sakta hai waha se kyun nahi akhir to iska jawab following types se niche meintion kiye hue hai..!!

·     Sabse pahli baat ki phonepe loan aapko isliye lena chahiye kyunki yah poori tarah se online service hai..

·     Doosri baat yah ki phonepe loan aapko bahut kam  interest rate par yani ki phonepe interest rate aapko kam dekhne ko milta hai aur shuruaat ke samay mein to 45 din aapko loan par phonepe interest rate nahi aata hai matlb koi byaz nahi..

·     Teesri baat yah ki phonepe application top 10 online transaction application mein se ek hai jiski wajh se iske user bahut sare or poore India mein log phonepe app ko use karte hai to matlb india ka koi bhi customer phonepe loan le sakta hai..

·     Phonepe loan apply karne ke liye aapko kahi bhi nahi jaana padta kyunki yah poora online process hai jisme aapko bas apne ghar baithe one click mein phone se phonpe app ko use karke phonepe loan apply karna hai..

·     Phonepe loan isliye lena chahiye kyunki phonepe aapko loan dene ke saath aapko lambi deadline bhi deta hai jisse aap loan ki raashi aaram se chuka sake..

·     Aur sabse zaroori baat yah ki loan sidha aapke bank ac mein aata hai jisse loan amount aapko milne ke saath hi aap apne atm card se paiso ko nakad raashi mein prapt kar sakte hai..

PhonePe Loan Lene Ke Faayde?

·     Sabse pahla faayda phonepe loan lene ka yah ki aapko yaha se phonepe instant personal loan milta jaata hai aur bhi maatra kucch  hi palo mein..

·     Doosra aur sabse accha faayda yah ki aapko 45 din tak koi bhi kisi bhi prakar ka phonepe interest nahi  lagta hai jisse aap ke upar loan ka kisi type ka koi pressure nahi rahta hai..

·     Aur sabse kaam ki baat yah ki aapko yaha se loan milt hai aasani se bahut kam documentation ke saath saath hi lambi deadline bhi mil jaati hai

 

PhonePe Loan Kaise Apply Kare?

·     Sabse pahle aapko phonepe application ko apne phone mein install karna hoga iske liye aapko karna kya hai

·     Google play store mein jaakar aapko phonepe search karna hai phonepe jaise hi dikhe aapko install button par click kar dena hai

·     Install hone ke baad  phonepe app ko open karna hai

·     Phonepe application open hone ke baad aapko sabse pahle apni country fir aapko apni bhasha select karna hai iske baad aapko

·     Phonpe app mein signup karna hoga aapko apna mobile number daalke signup karna hai uske baad jaise hi sign in complete ho jaaye

·     Iske baad aapko or ek application jiska naam hai flipkart isko apne phone mein install karna hoga yah bhi waise hi karna hai jaise aapne phonepe app kiya tha

·     Aur isko bhi install karne ke baad open karke apne mobile number se signup karna hai

·     Jaise hi flipkart app ka homepage aapke saamne aa jaaye aapko flipkart application ke flipkart pay later  par click karna hoga uske baad  aapka poora details aapko usme fill up karna hai uske baad aapko apna documents submit karna hai jo jo uss application mein requirement hai uske according

·     Uske baad saare documents fill up ke baad flipkart pay later aapke phonepe app se auto link connect kar lega

·     Iske baad aapko apne phonepe application ke my money option par click karna hai waha par ek link milegi usey okay karna h fir aapko kucch time mein loan mil jaaega

PhonePe Loan Eligilibility Criteria?

·     Phonepe loan lene le liye zyada kucch eligibily criteria nahi hoti hai kucch do tin common si baatein hoti hai jaise ki pahle aap sabse pahle bharat ke nagrik hone chahiye

·     Doosra phonepe loan eligibility yah hoti ki aap ki umar 18 se zyada honi chahiye aur yah rule sirf phonepe loan ke liye hi nahi har jagah apply hoti hai ..!!

·     Aur last yah ki aapke paas sabhi wo zaroori documents honi chahiye jisse aapki identity verification karne mein aasani ho sake..!!

PhonePe Loan Documents?

·     Sabse pahle aapke paas aapka identity proof hona chahiye jisse pata chal sake ki aap bharat ke naagrik ho jaise ki do tin documents like (Aadhar card, pan card, pass port, labour card etc..)

·     Doosra yah ki aapke paas koi sa bhi ek passport size photo ho jise aap pic click karke online documents ke saath attach kar sako ..

·     Aur ek aapka address proof hona bahut zaroori hai jis pate par aap rahte ho waha  ki identity jaise ki ( Electricity bill, rent aggriment, aadhar card, pan card, passport)

PhonePe Loan Repayment?

Dosto jab aapko loan mil jaaega phone pe se to my money wale option mein jaakar phone pay mein aapko waha par loan repayment ke kayi option milenge aapko waha par jis bhi amount ka loan repay karna hoga aap waha click karke kar sakte ho..

PhonePe Loan CustomerCare Support..:-

080-68727374 / 022-68727374

Hamne Aaj Kya Sikha?

To dosto hamne aaj sikha ki aap kis tarah se phonepe loan kaise le sakte ho (how to get loan from phonepe) iske alawa phonepe loan lete waqt kucch baatein jaise phonepe loan mein phonepe interest rate kya hai kitna hai, phonepe loan kitna deta hai, phone documents critera kya hai, phonepe repayment kya hai, phonepe kitna loan deta hai..aur bhi sabhi baato ko discuss hamne kiya hai mujhe ummid hai ki aapko sabkucch samajh aaya hoga ….

Dhanyavad

Aashish Kummarr

About AashishKummarr

Check Also

HDFC Bank Mudra Loan Kaise Le? | HDFC Bank PMMY Loan Apply Online? | HDFC Bank e-Mudra Loan?

Hello friends, So,kaise ho aap sabhi log ummid karti hoon acche bhale honge toh aaj …

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

x